Na sahi par itni to inayat kartay

  • Work-from-home

tahir

Newbie
Jul 28, 2007
18
25
0
39
Na sahi par itni to inayat kartay



Apnay mahman ko hanstay hooay rukhsat kartay



ki muhabbat to sayasat ka challan choor dia



Ham agar payar na kartay to hakoomat kartay



Ham nay har gam ko muhabbat ka tasalsul jana



Ham koi tum thay kah dunya ki shikayat kartay



Mubhim ilfaz main ham nay tujhay kia likha hai



Tu kabhi robro ata to wazahat kartay



Tujh ko khoonay ka siray sai kabhi soocha hi na tha



Ham agar tujh ko na paatay to bagawat kartay



Goonjta atta hai naraz hawaon ka jaloos



Ghar main hootay to chiragoon ki hifazat kartay



Kitnay din hoo gaey khamoosh ho tum khair to hai



Waqat milta to zara phone pai zahmatt kartay



Rat jaggay aisay kah pathra gai ankhain akkas



Ankh lagti to kisi khawab ki hasrat kartay
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top