Namaz e fajar main uthnay ki tadabiers

  • Work-from-home

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
Allah talla say in alfaz main dua mangain:
Is dua ki barkat say ap ko or ap ki ollad ko insha allah namaz ki adaigi ki tufique ho gi.
Agar saholat ho to dopahar k time rest zarror karian yah sunat hai or is say fajar k time jagnay main bari help milty hai.
Raat ka khana jaldi khain or kam khain , mulana sahib nay likha hai k khana khatay time aik aisa time ata hai jab insan sochta haik mazed khaon ya nahi, bas usi time chur do.
Raat ko pani na piyein or agar shaded zarrorat ho ya payas ho to kam say kam piyein.
Raat ko zarror jaldi soo jain.
Raat ko sonay k kuch amal kar k soan
Kisi say subho uthanay k lia kah kar soan.
Alarm laga kar soan or alarm ko itna dor rakhain k us ko band karnay ka lia uth kar jana pary, is tarhan neend say jag jain gay.

Sorah bakra ki ayat # 12 par kar soan
Ya
Sorah kahaf ki akhri ayat say akhir tak par kar soan. Ya ayat parain ur jis time uthnay ka irrada karain gay insha allah neend say jag jain gay.
Ya
Sorah Aal-e-Imran ki ayat # 18 parh kar jo time zehen main laiyenge inshaAllah usee time aankh khul jaye gee
Jasay hi aankh khulay dono haton ko chahray par achi tarhan malain, ya amal sunat hai or neend k nasha bhi utar jata hai.
agar ho sakay to chahray par hat phar k surah al e imran ki ayat 190 say 194 tak par lain. Yai amal sunat hai or is say neend dor ho jai gi.
Neend say baidari par himat kar k phoran uth khara hon, nafs k us takazay par hargiz amal na karain k abhi thori dair aram kar laitay hain or kuch dair bad uth jain gay. Is tarhan ap ki namaz kaza ho jati hai.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top