namaz ka lia

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
baishak namaz hi buraion se rokti hai

yehan ye baat qaablay ghor hai k namaz bunyaad hai sutoon hai deen ka
aur huzooray paak ki baishumaar ahadees mojood hain
lakin hum log phir bhi namaz se ghafil hain
haalan k jaantay hain k 1st question hi namaz ka hoga

jab bunyaad hi kamzor ho to ghar kaisay mazbood rehsakta hai
yani namaaz hi ibtida hai aur namaz hi intiha

Allah ki muhabbat ko paanay k liya sub se pehlay hamain 5 waqt ka namazi hona hoga
2nd namaz ko dil se perhnay ki koshish kerni hogi is ka tareeka ye hai k har soorat k means pata hon
agar in 2 baton par amal kernay ki koshish ki jye to namaz waqai apna asar dikhati hai aur roohani aur jismaani to par asar andaaz hoti hai
asal cheez roohaniat hai kyun k jab rooh paak hona shooruh hoti hai to khayalaat paak hotay hain aur jab khayalat paak hotay hain to is ka asar jism par parta hai

aur ye kaam namaz kerti hai
jin longo k baaray main hum kehtay hain k ye 5 waqt k namazi hain lakin phir bhi wo hi adatain hain ya ye k namaz se koi fark kyun nahi par raha
asal main ye wo log namaz ko sirf adat se pertay hain aur upar di gai sirf do baton ka khayaal nahi kertay
agar hum log khayaal kernay lagain to koi waja nahi humari namazain humain badalna na shooruh kerdain
Allah hum sub ko tofeek day
ameen
 
Top