Namaz Parhte ho?

  • Work-from-home

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
Assalam-o-Alikum.. k-se hai sab??

well mai 1 baat sochti hoon k kia hum aam insanoo ko ye sawal 1 dusre se karna ka koi haq hai

"K Tum Namaz Parhte Ho??"

mai samajhti hoon k hum ko ye sawal kisi se nahi karna chaye q k ye bande or Allah Ta'la Ka Mamla hai.. to phir hum kon hotey hai kisi se is tarah ka sawal karte hoye

Kia ye question sammne wale ko majboor nahi karta hoga jhoot bolne per? Guilty feel karne per?

share ur Thinking Plz..
 

Zakwan

_ZAKKY
TM Star
Nov 29, 2007
2,220
1,119
1,213
35
Canada
bilkul sahi kaha bholi ne k bilawaje namaz ka pooch kar sharminda karna aur guilty feel karana. lakin baat yeh k jab aap kisi se poocho gey k tu ya tu jhoot bolay ga ya sach. agar jhoot bolay ga tu hu sakta hei k baad mein usko guilty feel hu k mein ne ek tu namaz nahi parhi uska gunah aur phir uper jhoot bhi boldiya uska bhi gunah. tu hu sakta hei woh yeh soch kar k yaar log poochain gein woh namaz parhna shuru karday. shuru mien woh logon k poochnay ki wajah se parhay ga aur baad mein ahista ahista apnay shauq se parhay ga. agar woh sach bolay tu app us ko namar ki targheeb de saktay hu. woh namaz parhay ga aap ki targheeb ki waja se aur sawab aap ko bhi milay ga.
tu mere kiheal se yeh sawal doston se poochnay mein tu koi harj nahi hei. balke zaroor poochna chaiye. takay sahi rasta dikha sakain dost ko.
 

Prince Ali

Newbie
Sep 21, 2008
2,337
1,043
0
~Khuda Ki Basti~
Bilkul Ghalat kaha apne,

Phir to her burai aur achai ka mamla ALLAH aur Insan k dermian hai, hum kisi ko b kuch na kahein........

Kisi ko achai ki targheeb dena koi buri baat nahi hai.
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
MBB ...main to kehti hoon k aisay quest hamay aik dosray se pochna chaye, jab free time milay to inhe topics per baat ki jay...bayshak us se next ko gulity kio na feel ho..gulity feel hoga tubhe to wo namaz parhnay ka irada karayga dil main..
i dont think so k hamay sharmindagi ka soch k aisay quest nai pochna chiaye...
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
vey nice explanation Ahmed...

and thanks for ur comnts @ RR and SC..

meri ghalat fehmi dore hoie k kisi se ye sawal nahi karna chaye..
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
Miss BB
question to aapka saheeh hai, laikin aik baat zaroorat kahoongaa keh hamaen aik doosre se zaroor poochhna chahiye, iss ke liye aik example float karna chahoongaa keh sahabaah karam (RA) (jin ki zindagi hamare liye behtreen example hai) aapas maen kahaa karte thae keh aao eimaan ke tazkare karaen so that eimaan hamare dilon maen zindaah rahe, so mera khayaal hai agar aapas maen aik doosre se poochhte rahaen gae to iss taraah se apne eimaan ko in other words barhate (increase) karte rahaen ge.
 

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
hmm very nice point aap ne mention kiya MBB sis
k yeh sawal ek dosre se pochna chaiyen ya nahi?
mei ne above comments to nahi parhe

pr mera yeh kahna hai k Yeh sawal ek dosre se zaroor pochna chahiyen
jaise k apne kaha yeh Allah aur banda ka mamla hai
to waise hi agar pochte waqt samne wala jhoot bole to wo bhi Allah aur bande ka mamla hai
to better to ask kyun k agar wo nahi parhte to surely jab koi yeh sawal kare us se
wo insan guitly feel karengay aur es baat pe tawjah karengay k agar ab tuk nahi parhte thi ab parhege
ho sakta hai apke pochne se us ko hidayat mele aur Wo Namaz parhna shoro kare..

So i guess pochna chaiyen aur es mei bure manne wale koi baat nahi ....

REGARDS...
 

Khushboo

Newbie
Oct 9, 2008
62
20
0
Yehi Kahin
Good thread.

This is a question people don't like being asked at it shows that we are no fufilling our farz and therefore people feel the need to lie to protect themselves.

When one of my friends complain that ke yeh thik nahin ho raha, ya yeh masla hai mai keya karoon, mai ek hi baat kehti hoon, ke namaaz para karo, khuda ko apne qareeb laou aur khud ko khuda ke qareeb karlo.

I never say to someone "DO YOU READ NAMAAZ" ? although we should not feel shy about asking this as it's our rights as muslims to teach other the right things and lead each other on to the straight and narrow. I have taught namaaz to 3 girls now who did not read in the past. One has become 5x and ek parti hai when she has time and the other well lets say she will read when she is ready.

Yaqeen karein ke there a lot of people where I live who do not know how to read namaaz and want someone to teach them but are to embarrased and guilty to admit that they do not read or don't know it.

Create and opportunity for yourself to teach something islamic. If someone asked me do you read namaaz I would not be offended, even when I didn't read it. Allahumdolillah ab tho mai 5 waqti hoon.
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
kasey ko tanqeed aur hidayat karna buri baat nahi hai yeh ache baat hai k app kasey ko namaz pharnai ki tanqeed karoo per yeh jaab hoo saktaa hai jaab app khuad namaz k paband hoo warna yaha aksar yeh hota hai ka insaan khuad namaz pharta nahi aur dosroo ko bolta hai k meyaa namaz pharaa karoo
 
Top