Parveen Shakir's Poetry

  • Work-from-home

naturalazi

Newbie
Sep 28, 2008
170
113
0
38
Friends Villa
Pura dukh aur aadha chaand

Hijr ki shab aur tanha chaand



Din mein wehshat behel gayi thi

Raat hui aur nikla chaand



Kis maqtal se guzra hoga

Itna sehma sehma chaand



Yaadon ki abaad gali mein

Ghoom raha hai tanha chaand



Meri karwat per jaag uthey

Neend ka kitna kachha chaand



Mere mu ko kis hairat se

Dekh raha hai bhola chaand



Itney ghaney baadal ke peechay

Kitna tanha hoga chaand



Aansu roke noor nahaaye

Dil dariya, tann sehra chaand



Itne roshan chehre per bhi

Suraj ka hai saya chaand



Jab paani mein chehra dekha

Tuney kisko socha chaand



Bargad ki aik shaakh hata ker

Jaaney kisko jhaanka chaand



Baadal ke resham jhooley mein

Bhor samey tak soya chaand



Raat ke shaanon per sar rakhey

Dekh raha hai sapna chaand



Sookhay patton ke jhurmat per

Shabnam thi ya nanha chaand



Haath hila ker rukhsat hoga

Uski surat hijr ka chaand



Sehra sehra bhatak raha hai

Apne ishq mein sacha chaand



Raat ke shayed aik bajey hain!

Sota hoga mera chaand
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top