Please Be Confident Girls

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Asalamo aliekum

aaj jo main aap longo k samnay problem lay kar aai hoon bohat bohat ziada aam hogai hai lakin larkon ki nisbat larkion main ziada hai..aur wo hai confidence ka na hona,,,hesitation,,,ghabrahat..{}{r54{}{r54

aap log yehan us k reason batyen aur us k liya kia karna chaheya aur wo konsi wujoohat hain jin ki waja se ye cheezain creat hoti hain..

larkian aqalman honay k bawoojud aksar samnay walay k samnay ghabra jaati hain answer nahi kar paati,,,

ye meri observation hai is post k through main longo main awarness creat karna chahti hoon{}{98u
 

Sahiba

Newbie
Jan 31, 2008
72
10
0
ya main nay bhi Obsrve kia hai k bohat si GIRLS aisi hain jo k waisay tu theek hoti hain but jab ksii k samnay ati ahi tu bas un ka confidence ak dum finish.....
aur yeh kion hota hai i ll tell u...
FIrst jab ak larki k ghar main us k saath strict behave kia jai....us k saath khul kar baat na ki jai....
Jab wo ksi bhi Activity main part na lay....bas sab sai alag rahay.....
I think co education also gave much confidence......
lakin jo girls sirf girls school main hoti hain just aoni life tak mahdood un k saath hota hai....
Mother create confidence in Girls......
kion k Maa hi hai jo larki sai har baat share kar sakti hai aur agar yahi awareness na ho tu larki main Ahsass-kamtari hum jissay kahtay hain ho jaati hai....
ghar ka mahool bohat asar karta hai....bohat zada.....
If u free in ur home u can do welll in front of others
i think so
 

NonStopLeo

Newbie
Feb 2, 2008
355
82
0
Lakriyon mein confidence ki kami ka sub say barra sabab hamaray muaasharti rawaiye hain
Hamaray muaashray mein jo kuch ho raha hai iss koi bhi larki confidence ko stronge karne say qasir hai...
 

Sakina

Newbie
Oct 12, 2007
652
44
0
well sahiba ... ap nay jo kaha woh sahii b ho sakta hai magar maray sath aisa kuch nahi hai jo ap nay bataya magar phir b muj mai confidence nahi hai ... woh is liye k mai apni bari sisterz ko agay kartii hon har mamlay mai merii barii sisterz nay mujay apnay bacho ki tarah rakha hua hai is liye bas unhey ko mai use kartii hon har mamlay mai khud ka naam b nahi anay detii ... khud jab peechay rakhon gi apnay app ko too confidence kaha say aye ga {}{4rt5
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
well shiba nay jo jo likha mien us say agree karta hon ...
per wo shiba k points har larki par fit nahi hote ....

kuch larkiyo mein confidence nahi hota jin ki wajah shiba bata chuki hain

or kuch larkiyo mein confidence nahi hota kiun k wo log apnay ander confidence peda nahi karna cahta ...

nonstopleo bhi nahi sahi kaha k hamara masherti rawaiya bhi beech emin ata hai .....


wayse or bhi bahut sari wajah hain ... jayse Islam ... Islam mien full parda hai mard or orat ka so agar koi larki Islam ko zahen mein rakh kar kissi larkay say baat na kare ... to us ko log keh saktay hain k shayad is mein confidence nahi jab k wo to Islam ki kahi hoi baton par amal kar rahi hai ....

or wayse bhi zaroori anhi k larki mein confidence sirf larko say baat karnay ka ho ...

dosri activities bhi is mien shamil hoti hain ....

but i guess Hamara Islam hi is baat ki ijazat nahi deta k kissi larki ki awaz bhi kissi na mehrum k kano mein pare ....

(((( to be honest .... i m not completely satisfied what i just said ... I'll think about it after ))))
 

NonStopLeo

Newbie
Feb 2, 2008
355
82
0
Yahan per Don ne aik baat kahi k
"or wayse bhi zaroori anhi k larki mein confidence sirf larko say baat karnay ka ho ..."
Han balkul sahi kaha k jab hamara relegion iss baat ki ijazat nahi deta to hamein kya zaroori hai k issi baat k liye confidence develope karne k liye daurtay rahein, bohat see aur bhi cheezein hain aur bhi kaam hain jin ko karne k liye confidence hona chahiye, Aur I think k larki ho ya larka uss ko apni responsibilities/duties ki taraf sub say pehlay dekhna chahiye k uss per kya zimadariyan uss k gher ki taraf say, apnay muaashray ki taraf say hum per hain,
Ager hum yeh dekhein k hamein kisi ko compete nahi karna, balke apni zimadariyon ko achi tara say poora karna hai, aur inhi zimadariyon k liye hamein confidence develope karna hai to bohat saray hamaray problems ka solution yahi per hamein mil sakta hai..
 
Top