Qatl-e-shajar , Qatl-e-hayat hay!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
"Khuda agar dil fitrat shanas dey tujh ko
sakoot lala-o-gul se kalam paida kar"
insan ko dhoop achi laggi to saaye se nikal kar sooraj k saamne aa baitha, dhoop chubne laggi to saya talash kiya ,phir dhoop se, barish se, jangli janwaron, aur mohlik keeron se, bachne k liye jhaar jhankaar saaf kar k ghar bnaya gandagi ka ehsas hua to sfayi ki ehmiyat ko jana. ghar bnanae ki sayi may darkht kaate apne liye jaga bnayi aur apne ghar ki sfayi may mashghool ho gya magar apne ghar ki sfayi karte karte insan ye nazar andaz kar baitha k jin darakhton ka is ne sfaya kar diya unki ghair mojudgi ne mahol ko kis qadar aalooda aur aazarda bna diya!
qudrat ne jahan insan ko apni baish baha naimton se nawaza hay, ashjaar bhi unhi naimton may se aik azeem naimat hain! insan ki baish baha zaruryaat inhi janglaat ki marhoon-e-minnat hain,agar in janglaat ko manzar naame se ghaib kar diya jaaye to zindagi ka taswur bhi nhi kiya ja sakta. ye ashjaar hmari ghizayi zaruriyat k ilawa endhan, ghalla, phal ,phool, adwyaat fraham karne k saath saath bohat se janwaron aur parindon ka maskan ahin!
janglaat ka yhi husn-e-fitrat insan ki samaji, nafsiyati aur jamaliyati zindagi ki takmeel karta hay!
insani zindagi k safar may aik mukhlis, wafadaar aur muawan dost ki tara har jaga insan ko aaram pohanchane k liye mojud hain!
shajar kaari sunnat-e-nabvi(sallalau alaihe waalehi wasallam) aur deeni fareeza bhi hay!
"Hazrat Muhammad(PBUH) ne farmaya k agar tum bistar-e-marg par bhi ho aur tumhaare paas aik beej ho to usse bo do"!
aaj ki jadeed science ne jab ye sabit kiya k ashjaar saans laite hain aur is doran oxygen kharij karte hain, jo k jis k baghair zinda rehne ka tasawur bhi mumkin nhi ,insan k saans laina issi oxygen k baghair namumkin hay, is k saath saath mahol may mojud mohlik carbondioxide ko jazab kar k mahol ko saaf suthra aur khushgawar bhi bnate hain! to insan ko haqeeqtan ashjaar ki batadreej kam hoti ta'adad se apni zindagi ka khatra lahaq ho gya!
arkhton may kami waqea hui to insan fiza aaluda hone aur ozone teh may shigaf parne ki waja se mukhtalif beemarion ka shikar hota chla gya!
Pakistan ka shumaar bhi aise hi mumalik may hota hay jahan maholiyati aaludgi khatarnaak tareen soorat ikhtyar kar chukki hay, hamare haan maholiyati aaludgi ka sab se barra sabab darkhton ki bedarigh katayi hay! darkht jo k pakistan k sirf 5 feesad raqba par mushtamil hain unhe bhi bedardi se katta ja rha hay!
Magar maholiyaati aaludgi kisi aik mulk ka masla nhi hay darkhton ki beja aur bedarigh katayi ka ye amal poori dunya k tmama mumalik may jaari rha hay jis ne poori dunya ki fiza ko aaluda kar diya aur insani zindagi insani haathon ne khud hi khud pe tang kar li!
fiza ko aaluda karne k saath saath darakhton may kami k bays insano ki barri ta'adad aaj berozgaari ka bhi shikar thehri k jinka rozgaar zrayat se wabsta tha!
Insan apne liye aasaniyan dhundhne ki koshish karte huye ashjaar jesi masoom makhlooq-e-khuda ka be khauf-o-khatar qatal karta rha aur ye bhool gya k haqeeqtan insan apna hi qatal kar rha tha!
"Aey kaash tu samajh jata itni si to baat hay
ye qatl-e-shajar asal may qatl-e-hayat hay!"
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Bohat acha Topic hay sis..!

well Mujhay tu personaly bohat pyar hay Greenery se specially chotay Plants se Jin pe Phal aur phOol atay hain..! aur yah Darkht aur poday humray ghar k afraad ki terah hain Kabhe Insan tanha hOo aur podon k pass Ja ker baith Jaye tu usay aisa hi feel hota hay woh kise insan k pass aker beith gya hay, aak sukOon aur khushi ka ahsas dilatay hain..! aur Jahan darkht etc hOn us Jagha ki baat hi nirali hote hay MahoOl ko itna khobsurat bana detay hain k banda in k sehar main KhOo sa Jata hay :)
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Bohat acha Topic hay sis..!

well Mujhay tu personaly bohat pyar hay Greenery se specially chotay Plants se Jin pe Phal aur phOol atay hain..! aur yah Darkht aur poday humray ghar k afraad ki terah hain Kabhe Insan tanha hOo aur podon k pass Ja ker baith Jaye tu usay aisa hi feel hota hay woh kise insan k pass aker beith gya hay, aak sukOon aur khushi ka ahsas dilatay hain..! aur Jahan darkht etc hOn us Jagha ki baat hi nirali hote hay MahoOl ko itna khobsurat bana detay hain k banda in k sehar main KhOo sa Jata hay :)
bilkul sahi kaha!
bohat taskeen aur sakun milta hay greenery ko daikh k phulon k paas baith k!
thori dair fursat k lamhaat akele may in k saath guzarain jaayain to saari tension release ho jaati hay k ALLAH ne itni khoobsurti hum insano k faide k liye hi bnayi hay! :)
 
The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion

mje pata chala hai ap ne bajpan main bohat pooday toray hain
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
bilkul sahi kaha!
bohat taskeen aur sakun milta hay greenery ko daikh k phulon k paas baith k!
thori dair fursat k lamhaat akele may in k saath guzarain jaayain to saari tension release ho jaati hay k ALLAH ne itni khoobsurti hum insano k faide k liye hi bnayi hay! :)
True said sis..!
 
  • Like
Reactions: hoorain

The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
ohhhh to Podon ne aapko bta bhi diya
mana bhi kiya tha unhe k kisi ko mat btana :p
dekho yeh achi baat nahi hai ap ko chahe abhi apni uss ghalti kay liey maafi mango... or kisi insan ka dil khush karo... yeh kafara ho gay.. or meri help kia karo.. kabi kabi muje thread bana kay diey karo. warna pooday bohat naraz hain ap se.
Kahan se pata Chala..?
muje vision atay hain
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
dekho yeh achi baat nahi hai ap ko chahe abhi apni uss ghalti kay liey maafi mango... or kisi insan ka dil khush karo... yeh kafara ho gay.. or meri help kia karo.. kabi kabi muje thread bana kay diey karo. warna pooday bohat naraz hain ap se.

muje vision atay hain
oh achaaaaaaaa achi bhai giri shuroo kar rhe hain aap/:)
zulm podo pe ho to kufara insano ko ada karun wahhhh kia matlabi insan ho aap :p
 
The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
oh achaaaaaaaa achi bhai giri shuroo kar rhe hain aap/:)
zulm podo pe ho to kufara insano ko ada karun wahhhh kia matlabi insan ho aap :p
main bodon or ap kay darmyan sulah kara raha hun to zahir hi baat hai dil mera khushi hon chahe. warna muje kia kal yeh pooday ap kar giribaan jab pikrain gay to phir meray paas na ana
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
main bodon or ap kay darmyan sulah kara raha hun to zahir hi baat hai dil mera khushi hon chahe. warna muje kia kal yeh pooday ap kar giribaan jab pikrain gay to phir meray paas na ana
aap k paas q aaungi main :eek:
aap lawyer ho podon k =;
acha chlain aap tension na lain main khud daikh lungi:p
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
muje dunia ka har makhlooq se piyar hai. to woh pooday jin ko ap ne tora who bhi to meray bachay thay. mje dukh nahi hota. kal meray paas na ana main safaarish nahi karon ga
ahhh
yawning!
acha nhi aaungi aap k paas {(popcorn)}
 
HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
ap ne podon ko time nahi dia. bilkay ap har waqat seesha dekhti rehti thian. do ponio kay sath
awein Time nahi dia, Main nay Bachpan main podon ka bOhat khyal rakha hay aur Jin podon ka main khyal rakhti the un pe Phal aur phOol bhi atay thay..!

aap k Vision Flop hain.
 
Top