Rishtay in 2100

  • Work-from-home

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
Larkay In 2100

(Larki walay larkay ko dhaikhnay aatay hain)



Larki ki maaan: hamari larki to mashllah lakoon main aik hai hazarooon kamati hai Mashallah appna larki ka business hai

Larkay ki maaan: haan behan ajj kal nookarioon say kahan guzarara hoota hai khair app yeh samoosay lain na aur chat bhi lain aur yeh batain khana kaisa bana hai

Yeh sab kuch larkay nain kud banaya hai mashallah isay saray khanay pakkanay aatay hain aur to aur hamaray larkay ko to chinease bhi banana aata hai

Larki ki maaan: haan behan ajj kal k larkooon ko to kuch bhi pakkana nahi aata larkoon main to masarqi toor tareeqay to khatam hootay jaa rahay hain

Kahir zara larkay ko to bhulain kahan hai wo

(Larka sarmatay huay ander aata hai)

Larki ki maaan: mashallah larka to waqai khoob soorat hai par hamari larki bhi to lakooon main aik hai khoob joori jamay gi

Larkay ki maaan: array behab hamaray larkay ko to khanay pakkanay k ilawa salai aur kharhai bhi aati hai

Ghar k saray khapray hamara larka hi seeeta hai aur to aur hamara larka saray ghar ki safai bhi karta hai aur to aur appni bhabi k saray bachoon ko sanbaalta hai un ki neeepi bhi change karta hai

Larki ki maaan : Mashallah app rishta pakka hi samjain hum bhuhat gald baraat lay k aain gay aur larkay ko rukhsat kar k lay jain gay par pehlay zara jehaiz ki baat clear kar lain

Yeh batain larka jehaiz main kia lay ga

Larkay ki maaan : Mashallah larka jaheiz main dhairoon samaaan lay gaur kafi

sooona(Gold) bhi lay ga aur ghari bhi

Larki ki maan (kush hoo kar): bas behan app rishta pakka hi samjain aur shadi ki ayyari karain hamari larki bhuhat galdi baraat lay gi aur app k larkay ko biah kar lay jay gi
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
{()|vd {()|vd {()|vd {()|vd {()|vd {()|vd {()|vd {()|vd {()|vd {()|vd
ohhhhhh,,waisay ye kaufnaak khuab kub aya din main ya raat main ???
Allah na karay itna bura zamana aye main to sirf dua hi kersakti hoooooooon...

{}{9876 {}{9876 {}{9876
 
Top