Saviou Mohtram (shehr-e-tanhayi K Qalam Se)

  • Work-from-home

Umm-e-ahmad

Super Star
Feb 22, 2010
11,352
5,314
1,313
home
Jee haan naam hi kaafi hai....saviou... jaisa naam waisa kaam ... ab aap soch rahay hoN gay k iss naam ka asia kiya kaam hai jo hum itni tareef meiN lagay haiN. To huva kuch yooN tha k Mohtram ne apna naam yaani nick name saviour rakhna tha lakin jaldi meiN R chooT gaya to iss se baaqi maanda naam par to koyi asar nahi paray ga naa!! waise bhi amaal ka daar o madaar niyyatoN par hota hai to inn ki jo niyyat thi nick name rakhne ki to hum unn k naam ka wohi matlab lein gay yaani k bachanay waala, madad karne waala. Tafreeh Mella par yeh apnay naam ki bharpoor akaasi kar rahay haiN. Kitnay saaray masaayel hotay haiN jin meiN yeh madad kartay haiN aur mazeed masaayel se bachatay haiN.Khair ye to nick name ka zikar e khair tha , asal naam bhi bahot khoob hai Nasir Ahmed aur wohi maani rakhta hai. Acha laga na aap ko bhi??? 8->

Kaafi
nazm o zabt k qaayel haiN warna aap khud sochiay k jahaN tafreeh ka mella laga ho wahaN bhala koun kisi ki sunta hai. Koyi sunay na sunay lakin sun kar anjaan ban jana insani fitrat hai . Lakin yeh bhi haqeeqat hai k saviou mohtram ka chamkta damkta naam dekh kar baa adab baa malahiza hoshiyaar ki sada kaanoN meiN goonjti sunayi deti hai.Yeh humara maan-na hai, aap k dil ki aap hi jaano. Umr e aziz to 32-34 kay aas paas ( pata nahi ooper hai ya neechay) sun-nay meiN aayi hai lakin sab members k saath inn ka bartaao dekh kar inn par buzurg ka gumaan honay lagta hai jo shararateiN kartay bachoN ko apni nigah mein rakhne k liay kabhi aik konay mein nazar doRatay haiN aur kabhi doosre konay mein kay kahiN koyi qaabil e garift to nahi. {(bye)}

India k shehar Kurnool mein apnay 3 bhai aur 2 behnoN se
pehle duniya meiN tashreef la kar apnay waldain aur deegar ehl e khana ki khushi ka baayes banay aur ab hum , tum balkay hum sab ki khushi ka baayes ban rahay haiN. Aisay zaheen, hazir javab aur kaafi had tak Mizaah ki hiss rakhne walay saathi member kay sath waqat guzarna Khushi ka baayes hi to ho ga na!! aur ooper se izaafi khoobi yeh hai k inheiN ghussa to aata hi nahi. Abhi nahi aata lakin bachpan meiN ghussa musalsal inn ki naak par qabza jamaaey huvay tha. Samjh gay na k yeh mousoof bachpan mein naak par makhi na beThne denay wali misaal ki mukamal tafseer thay.Khuda Taala jis par mehrbaan ho aur woh afzal darjay kay laayiq ban jata hai. Mohtram bhi jooN jooN Quran Majeed kay qareeb tar hotay gaey, Ghussa inn se duur hota gaya. Baa-wasooq zaraaiy se maloom huva hai kay ab Ghussay ko inn se ghussa huvay 12 saal ho gay haiN. Ho gay na heraan? Lakin sabar shukar ki raah par chalne se ghussa aksar apni raah alag kar liya karta hai.Aap ki Ideal Personality Mohammad Bin Abdullah Sallu Allahay Wasalim ki zaat e Mubarika hai. Aap ki hamesha se yeh Khvahish rahi hai k aap aik Daayi baneiN aur Allah k diay Ilm o Hikmat se logoN ko Haq ki tarf bulaaayeN. Aap apni iss khvahish ko poora karne aur logoN ko mukhtalif deeni aur islaami mamlaat mein raah e haq ki tarf laanay aur Allah Taala ka peghaam pohnchanay ki koshish meiN sargardaaN rehtay haiN. Iss ki misaal TafrehMella ka islami section hai.

Jee to baat ho rahi thi inn kay Ghussay ki, Ghussay ko to
khairbaad keh hi chukay haiN lakin Insaani fitrat hai k kisi na kisi ki baat buri lag bhi jati hai to iss k liay inhoN ne aik alag hi tareeqa apna liya hai kay aisay banday se baat cheet kam kar detay haiN aur khamoshi ikhtiyaar kar kay kaafi had tak sard-mohri aur laa-talluqi ka rawaiyya apna letay haiN. To agar kisi ko lagay kay inhoN ne aap meiN se kisi se baat cheet kam kar di hai to foran se paishtar apnay maazi qareeb meiN inn se honay wali guftgu waghaira par aik nazar doRaiay, waja samnay aa jaey gi. =))

Narm fitrat kay maalik haiN lakin kabhi kabhi kisi baat par jhunjhula kar apnay honay ko mehsoos kartay haiN. Jaise agar inhoN ne koyi haq baat kisi kkay samnay rakhi , saamnay wala jaan boojh kar bigRa bacha bana rahay aur apni hi baat par aRa rahay to sakhat jhunjhulahaT ka shikaar ho jatay haiN. Kyunkay jhoot se nafrat aur Haq baat par khaRa honay se inheN koyi nahi rok sakta. Roknay se yaad aaya kay ab umr kay iss dour mein agarchay inhoN ne khud ko Cricket khelnay se to rouk rakha hai lakin cricket k khel dekhne ki khvahish ko nahi rok saktay.Iss meiN inn ki dilchaspi abhi barqarar hai. Khana pakanay mein bhi itni hi dilchaspi rakhtay haiN jitni k khanay mein...Dam Biriyani bahot achay se bnatay ahiN aur achay achoN ka dil lalchatay haiN. {(nyam)} Iss maqsad kay liay woh Tafrehmella ka istmaal khoob kartay haiN dawat kay naam par sab ko bula kar woh tamaam khanay dikha kar apnay Hunar-mand aur sughaRh honay ka saboot de kar aik tarf to sairoN kay hisaab se tareefeiN samait kar apna khud ka sairoN khoon baRhatay haiN aur doosri tarf hum yaani k sinaf-e-mukhalif ko dil hi dil meiN thoRa sa sharminda bhi kartay haiN. (sa) Ab vaja pooch kar aap sharminda mat hona kyunkay hum aisa koyi mouqa nahi denay walay. HaaN meethay meiN kaddu ka halwa pasand kartay haiN to uss miThaas ka rang unn ki guftgu meiN ba-Khoobi mehsoos kiya ja sakta hai balkay dekha bhi jaa sakta hai baa-shart-e-kay aap dekhne wali nazar rakhtay hoN. YooN to Khuda Taala ki har nemat ko shouq se khatay haiN Jin meiN qabil e zikar Karela hai. Herat ki baat yeh kay karelay khanay k bavajood inn kay mizaaj meiN kaRwahaT naam ko nahi hai. Aap narm mizaaj aur Khush-guftaar honay kay sath sath Ghazab kay hoshiyaar bhi haiN.Har kisi ki madad karnay ko har waqat tiyaar, kay kisi ka bhala bhi ho jaaey aur Allah Taala bhi inn se raazi rahay.... Hai Na Hoshiyari???? Aur yeh kaam woh aksar deeda-daleri se kartay nazar aatay haiN. ;;)

Kaam, Kaam aur sirf kaam kay asool ko apna rakha hai. {(jccoffe)} Office ka kaam, ghar ka kaam bas kaam hi kaam.... Office kay kaam ki to samjh aati hai kay zariyya-e-Rozgaar hai, iss se be-wafayi achi nahi lakin ghar kay kaam???? iss baaray humara zaati andaza kuch yooN tha kay ghar kay kaam to yaqeenan Khatoon-e-Khana hi sar-anjaam deti hoN gi albata yeh apnay hissay ka ghar ka kaam kuch yooN nimtatay hoN gay kay UnhoN ne pakaa liya, InhoN ne khaa kay hisaab barabar kar diya. Khatoon-e-Khanakay zikar par aap zaroor chonkay hoN gay lakin aap ko btaatay chaleN kay inheN aik adad khatoon-e-Khana kay shohar-e-Namdaar honay ka sharf haasil hai . Ab bhi nahi samjhay kiya??? Aray asaan lafzoN meiN boleiN to Maah-e-December meiN paida honay walay Inn Mohtarm ko zindagi ki khoobsorat baiRiyaN bhi December hi meiN pehnayi gayeeN. SaaloN Intzaar karnay kay baad inn ki zindagi ka sar pe sehra sajanay ka khvaab 31-12-2010 meiN poora huva. Sehra ka lafz hum ne mahavartan istmaal kiya hai albata Sherwani kay baray yaqeen se keh saktay haiN kay inhoN nay zeb-tann ki ho gi.Jab pehn-nay oRhnay ka zikar chal hi nikla hai to bata detay haiN kay yooN to aksar yeh pant shirt pehntay haiN Office kay liay sifari suit bhi pehn letay haiN khaas tor par jab India hotay haiN. Lakin Jumma Mubarak kay din Jubbah pehntay haiN chahay India meiN hoN ya Saudi Arab meiN.

Jee Jee sahi samjh rahay haiN aap....
Silsala-e-Rozgaar meiN apnay watan se duur haiN India ki har jagah ko aur Khasoosi tour par apnay ghar aur mohallay ko bahot yaad kartay haiN lakin be-watani meiN yeh to hota hi hai na!! Baqool kisi shaayer

Tujh se bhi dil-fareb haiN ghum rozgaar kay

Shaayer-e-Mashriq
Allama Mohammad Iqbal ko pasand farmatay haiN aur unn ki likhi nazam ka aks aap ki shakhsiyyat meiN waaziyah nazar aata hai aur kuch aisi hi khvahish liay zindagi ki raah meiN Roshan shamma haath meiN liay aagay baRh rahay haiN

Labb pe aati hai dua ban kay tamanna meri
zindagi shamma ki soorat ho Khudaya meri

Shaayeri pasand karnay kay sath sath
khud bhi likhtay haiN aur Khoob hi likhtay haiN. Inn kay ashaar apni poori sachayi samait harf harf dil meiN utartay jatay haiN aur paRhne wala wohi jazba mehsoos karnay lagta hai jo inhioN nay likhtay huvay mehsoos kiya ho ga. Mulahiza kijiay

Na bachoN pe shafqat na baRoN ki Izzat
Taleem to aala hai lakin Ekhlaaq kahaN?

BarishoN ka mausam pasand hai .... rangoN meiN sufaid aur neela rang pasand kartay haiN. Chai kay to aisay shouqeen haiN kay TM par bhi aksar chai ki farmaayesh kartay rehtay haiN . Yeh alag baat kay aisi chai ki chah sirf chah hi reh jati hai.JahaN itna kuch likh diya, chahiay to yeh tha kay kuch inn ka huliyya bhi biyaan kartay lakin baat kuch yooN hai kay Unn ki shakal o soorat kay baray sochne beTheiN to Zyada soch nahi patay, Ehtraam aaRay aa jata hai.Waisay bhi hum zyada lambi choRi baat karne kay qaayel nahi haiN iss liay thoRay likhay ko hi kaafi jaaniay aur baaqi sab seegha-e-raaz meiN rehne dijiay. YooN to hum ne bahot rok rok kar qalam ko phislne se bachaya hai aur chalaki se kaam letay huvay apni khata ko bakhshva bhi chukay haiN lakin phir bhi agar koyi gustakhi kar beThay hoN to

Bhari bazm meiN raaz ki baat keh di
baRi be-adab hoN saza chahti hoN

(Shaayer se mazrat kay sath)

walaikum usalam wrwb
MAA SHA ALLAH bht hi umda likha aap bht ache lajawab andaaz main aur bht khushi hui saviou bhai k bare main jaan k
sis kamal kar dia :) great work:-bd
 
shzd

*$* ShAzi Ch00zA *$*
Super Star
Jun 24, 2013
5,292
1,542
1,313
jannat

acha istemal hy dimagh aur qalam ka
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
  • Like
Reactions: minaahil and saviou

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
@saviou محترم بھائی

ایک شعر آپ کی نذر کرتا ہوں
امید ہے کہ پسند آئےگا آپکو
جو آپ کے لئے ہے

طلوع ہو ا ہے کوئی آفتاب جیسے یہاں
کہ چار سو ہے روشنی تفریح میلا میں

@Shireen2410 @shehr-e-tanhayi @Shiraz-Khan @Hoorain @Kavi @DiLkash @Star24 @minaahil
Ma Sha Allah :)
bohot behtareen aur ham ye sher un sab k nazar karte hain jo bohot jald is roshni me mazeed izafa karenge in sha Allah
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
  • Like
Reactions: Untamed-Heart
Top