Simt

  • Work-from-home

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
"Andhery may simt ka pata nahi chalta mager aasmaan aur zameen kia pata zaroor chal jata hai..balkay har haal may chalta hai..sar uthanay per aasmaan hi hota hai nazr aye na aye..sar jhukanay per zameen hi hoti hai dikhai day na day mager zindgi may safer kernay k liye sirf chaar simto hi ki zaroorat perti hai..daie'n baie'n, agay , peechay, panchwi simt pero k neechay hoti hai waha zameen na ho to ptaal aa jata hai..patal may pohnchnay k baad kisi simt ki zaroorat nahi rahti...
chati simt sar say uper hoti hai waha jaya nahi ja sakta..waha Allah hota hai..Aankho'n say nazer na anay wala mager dil ki her dherkan khoon ki har gardish har anay janay walay saans, halaq say uternay walay har nawalay k saath mahsoos honay wala...."


(Peer-e-kamil, Umera Ahmad)
 
  • Like
Reactions: Fantasy
Top