Some old+new

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Hum gaye tahe un k ghar
kehna tha dil se dil mila lo
un ki ammi ne khola darwaza
hum ghabra k bole
aunty
bachom ko polio k qatre pilwa lo
Mohabbat karne walon ko inkar acha nahi lagta
duniya walon ko ye iqrar acha nahi lagta
jab tak larka larki bhag na jain
in zalimo ko pyar sacha nahi lagta

palkon pe apni baithaya hai tumhain
bare duaon k baad paya hai tumhain
aasani se nahi mile ho tum
international zoo se churaya hai tumhain

khayal ko kisi ahat ki aas rahti hai
nigah ko kisi surat ki talash rahti hai
tere bina koi kami to nahi aye dost,
bas gali wali jamadarni udas rehti hai.

College ki galiyon main ajeeb khel hota hai
class k bahane dilon ka mail hota hai
notes ki jaga love exchange hota hai
isiliye to har aashiq har saal fail hota hai.
acha sila diya tu ne mere pyar ka
yaar ne he loot liya ghar yaar ka.
...REMIX...
acha kurta siya tu ne mere naap ka
naap liya mera, siya mere baap ka.

har gali har devar par aap ka naam likha hai
har khirki her darwaze pe aap ka naam likha hai
uper talashe-e-gumshuda aur
neche zehni tawazan kharab likha hai.

meri prem kahani ka ajib ending tha,
meri prem kahani ka ajib ending tha,
Izhare-e-mohabbat kiya tha sms se
jo un ki shaadi tak pending tha.


pyar ki rasmo ko ye zamana kiya jane,
dil ka dard dil torne wala kiya jane
hoti hai kitni mehnat ek larki patane main
ye ghar pe betha us ka baap kiya jane

kyon har baar mousam ki tarhan badal jate ho
har naye din humara dil dukhate ho,
ye baat soun kar humari roh tak kaanp gai
k tum ab bartan dhone wale sabun se nahate ho

Khuda kare ye saal aap ko raas aajaye
jis se aap chahain woh aap k pass aajay
aap es sal manware na rahain
aap ka rishta lekar aap ki saas aajay

chamakte chand ko neend aane lagi
aap ki khushi se duniya jagmagane lagi
dekh k aap ko har kali gungunane lagi,
ab to phenkte phenkte mujhe bhi neend aane lagi.

woh ankh bohat pyari thi jo hum ne usse mari thi
woh joti bohat bhari thi jo usne humain mari thi
hum to muft main pit gaye ghalib
humain to ankhon ki bemari thi

chand pe kaali ghata chati to hogi,
sitaron ko muskurahat aati to hogi
tum lakh chupao duniya se magar
akele main tumhain apni shakal pe hansi aati to hogi

gulaab ko bhi kanwal bana dete
un ki ek nazar pe gazal bana dete
kambakht marta nahi hum pe koi
warna
karachi main bhi Taj Mahal bana dete

sehmi sehmi nigahon main khawab hum saja dain gaye
soni soni rahon pe phool hum khila dain gaye
humare sang muskura kar to dekho
aap ko dentonic k add main lagwa dain gaye.

pholon ne amrt ka jaam bheja hai
suraj ne gagan ko salam bheja hai
mubarak ho aap ko ye andhera aur garmi
tahey dil se KESC walon ne ye pegam bheja hai

dil se hum aap ko aadab kehte hain
mouh se aap ko janab kehte hain
jahan kahi bhi aap tashreef le jate hain
yaqeen janiye sab aap ko khuda ka aazab kehte hain

laila majnu k kisse purane ho gaye,
pyar, ishq, mohabbaat sirf afsaane ho gaye
aaj har romeo k pass kayi juliet hain,
aur har shama k kayi parwane hogaye.

twinkle twinkle little star
tera boy friend gaya bazar
us ko mil gaya dosra pyar
ab to beth k makhiyaan mar.

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top