Some Quotes

  • Work-from-home

anmol

Newbie
May 19, 2008
472
154
0
37
Aslam-0-alikum

1) Apni baat ki wazahat kabhi mat karo. Tumhare doston ko us ki zaroorat na hogi aur tumhare dushman is par yaqeen nahi karein ge.

2) Jo doosron ko shak ki nazar se dekhta hai wo dar haqeeqat mein apne kirdaar ki buraaiyan doosron mein talash kar raha hota hai.

3) Takleefon se mat ghabrao kiun ke takleefein insaan ko sochne per
majboor kar deti hein, sochne se insaan daanaa banta hai aur daanaayi jeene ke qabil bana deti hai.

4) Kabhi zahir per na jana. Aag dekhne mein surkh hoti hai magar us ka jalaya hua kaala ho jata hai.

5) Khuda ka munkir kabhi ye nahi sochta ke agar Khuda na hota tu phir inkaar kis ka kerte.

6) Tanhai ka ehsaas jab nahi hota jab hamare chahne wale humein
chor jaate hein balke asal tanhai tab hoti hai jab hamara dil tanha hota hai aur dil ki tanhai ka sabab Allah se doori hai.

7) Agar namaz se chutkara hasil kerna ho tu bande ko chahiye ke aankh bacha kar Khuda ki puhanch se door chala jaaye.

08) Ankhein dunia ke tamaam ajaayebaat ka nazara kerti hein lakin apne aap ko nahi dekh saktien.

09) Khush raho aur peeche mur kar na dekho, maazi raakh ka dher hai.

10) Paaon mazboot rakho, haal samandar ki rait ki tarha lamha lamha sarak raha hai.

11) Ankhein khol kar rakho, mustaqbil tareek khalaa hai.

12) Khuda jab kisi ko mustaqil zehni pareshaan rakhna chahta hai tu usay zaroorat se ziada aqal de deta hai.
 
Top