Taqdeer aur Tadbeer

  • Work-from-home
Nov 11, 2010
150
74
0
Karachi
Zindagi k bohat say faislay aisay hotay hain jo hamari zindagi say juray to hotay hain per unka faisla hamaray apnay ikhtiar may nahi hota.......


Zindagi may aisay bhi kai pal atay hain jahan hum teherna chahtay hain.....sastana chahtay hain.....jin pairon(trees) k neechay bethtay hain un say apni batain share kerna chahtay hain..per nahi ker patay.......kabhi kabhi manzil hamaray samnay ati he nahi .....wo hamaray pairon talay he hoti hay......phir bhi.......


Zindgai k kuch faislay tadbeer k hotay hain aur kuch taqdeer k....


tadbeer k faislon may tarmeem mumkin hay......Taqdeer k faislon may nahi......


Zindagi ki haqeeqat wo thori hoti hay jo hum guzarna chahtay hain........iski haqeeqat to wo hay jo hum guzarna nahi chahtay.......


Dekha jaye tou ....Ye jumla .....Zindagi kaisi guzar rahi hay......bemani sa hay.....fazool sa....


Zindagi ko koi kaisay guzaray ga.......WO to khud hamain guzar rahi hay.......bat hay samajh ki......per hum nadaan log hain......nahi samajhtay.........


Hamari umeedain hamain kyoon dukh deti hain........us ki ik he wajah hay.....meray khayal may......
isliye k hum logon say umeedain lagatay hain......us say nahi ......jis k ikhtiar may hay ye sub...Warna wo nakam nahi kerta ...na he na umeed kerta hay........Hum jitna bhi ALLAH ALLAH kertay hain na ...wo sab dhara reh jata hay.....jab hum naumeed hotay hain.....Kyoon k jisay US ki zaat per bharosa ho usko namumkin ko bhi mumkin kernay ki umeed honi chaheye...per insan hain na............bhatak jatay hain........hath pair martay hain.......idher....kabhi udher...........logon k chehron ki taraf dekhtay hain.................ye kam aye.......ya wo kam ajaye.....per hum asal may ye soch ker apnay sath zulm ker rahay hotay hain..........



Fehmida Ishtiaq
 
  • Like
Reactions: (åйĵΰ)
Top