tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha barabar hai duniya ko dekha na dekha

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
33
tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha
barabar hai duniya ko dekha na dekha​
mera guncha-e-dil hai woh dil-girifta
k jis ko kaso ne kabhi wa na dekha​
aziat, musibat, malamat, balayen
tere ishq main ham ne kya kya na dekha​
kiya mujh ko dagon sarw-e-chiragan
kabho tu ne akar tamasha na dekha​
tagaful ne tere ye kuch din dikhaye
idhar tu ne lekin na dekha, na dekha​
hijab-e-rukh-e-yar the ap hi ham
khuli ankh jab, koi parda na dekha​
shab-o-roz aye "Dard" darapai hun us ke
kaso ne jise yan samjha na dekha
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top