Tum mere ho

  • Work-from-home

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
Apne aankhon ke samne la rahi hoo,
Waqt ka yeh lamba safar,
Aaj pass kyon hai lagta,
Tum door nazron se meri,
Per teri ehsaash mein,
Apne aagosh mein kyon,
Mehsoosh kar rahi hoon,
Teri har ek baat,
Aaj khud ko kyon dohra rahi hai,
Woh saari yaadein,
Mere jism mein kyon sama rahi hai,
Ab aa bhi jao,
Na satao mujhe tum itna,
Ab aa bhi jao,
Meri aag na bhadkao itna,
Jab se gaye ho door mujhse tum,
Har pal yaad aaye ho mujko tum,
Bus ek jhalak ki diwani hoon,
Bus ek boond ki pyasi hoon,
Thod do saari seemiyen tum,
Bus aa jao,
Ab aa jao,
Tum mere ho.
Sirf
Mere Dilse Ho...Tum
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
zabrdast

---------- Post added at 01:54 PM ---------- Previous post was at 01:52 PM ----------

Mohabat shairi her giz nahi hay

Theek kehtey hain
Mohabbat to kisi bay deep qabrustan ki
Boseeda si ik qaber per woh nassb kutba hay
Key jiss per saaf likha ho
Shaheed-e-raah-e-ulfat
Ashiq-e-nakam ka marqad


Mohabbat aik katba hay


Laga hota hay jo aksar
Kabhi layla kay marqad per
Kabhi majnoo ki hasrat per
Kabhi sohni kay matkay per
Kabhi ranjhay kay teeron per


Mohabbat aik katba hay
Kay jis per saaf likha ho .


Mohabbat maut ki aghoosh may sir rakh kay sona hay
Mohabbat dil pay lahaq roag hay
Taa umer rona hay
Mohabbat raat bhar ka jagna
Aur jaan khona hay


Mohabat arzoo-o- hasrat-o-arman-o-kuwahish ki
Kisi maydan may rakhee hui aik aysee mayyat hai
Kay jis ko kandha dayney kay liye
Koi nahi aata
Mager phir bhi
Laboon per her kisi insane kay rakha hay ye jumla


MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY


Koi mujh say ager kah day
Mujhey tum say mohabbat hai
To dar jata hon may bayhad
Yeh dil main wehem aata hay


Kay ye izhar ka jumla
Mohabat ka yah ik katba


Phir kisi bay deep qabrustan ki
Boseeda si ik Qaber ki
Zeenat na ban jaey
Mohabbat ka yah kutba
Phir naee aafat na ban jaye
Wohee katba
Kay jiss per saaf likha ho


Shaheed-e- raah-e-ulfat
Ashiq-e-nakaam ka marqad


---------- Post added at 01:56 PM ---------- Previous post was at 01:54 PM ----------

very nice
 
Top