universe (kaayenaat)

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia

[FONT=&quot]*~in the name of Allah the most beneficent the most merciful~*

[/FONT]
fate-of-universe.jpg[FONT=&quot]

[/FONT]​
universe ( kaayenaat )

Kaayenaat ek bahot badi kitab ki maanind hamare saamne phaili hui hai.magar ye ek aisi anookhi kitab hai.jiske kisi safah par iska mauzu aur iske musannif ka naam likha hua nahi.agarche is kitab ka ek ek huroof(words) bol raha hai k iska mauzu kia hosakta hai aur iska musannif kaun hai.Jab koi shaqs is dunya me aankh kholta hai aur dekhta hai k wo ek wasi kaayenaat k darmiyan khada hai to qudrati taur par uske zahan me ye sawal aata hai k main kia hon aur ye kayenaat kia hai.is sawal ko hum ek lafz me haqeeqat ki talaash bhi kah sakte hain.

Kaayenaat ko dekhte hi jo subse pahla sawal zahan me aata hai.wo ye k iska banane wala kaun hai.aur wo kaun hai jo is azeem kaayenaat ko chala raha hai.pichle zamane me insan ye samajhta tha k bahot si na maaloom taaqatein is azeem kaayenaat ki maalik hain.aur ab bhi bahot se log is qism ka aqeeda rakhte hain.magar ilmi dunya me aam taur par ye nazriya turk kia jaachuka hai.

Laikin maujooda zamane k wo log jo khud ko taraqi yaafta kahte hain.wo shirk k bajaye alhaad (communism) k qaayel hain.unka kahna hai k is azeem kaayenat ka koi khuda nahi balke ye ek ittefaaqi haadisa hai jo khud bakhud wajood me aagaya.jise wo "law of causation"kahte hain.

Is nazarye me unka ye manna hai k abse taqreeban 20 nile years before kaayenaat ka wajood na tha.is waqt sitare na sayyare maujood thei.magar fiza me maadda maujood tha ye maadda us waqt jami hui thoos haalat me maujood na tha balke ibtedaayi zarre yaani protons ki shakal me fiza me phaila hua tha.aur is waqt ye maadda bilkul tawazun ki haalat me tha.yani isme kisi qism ki harkat na thi.fir achanak usme khalal paida hua.aur ye khalal badhta gaya jaisa k hum kisi paani k house me haath daalenge to saara house ka paani halne lage ga theek usi tarha ye maadda jama hokar mukhtalif jaghaon me jama hona shru hogaya.aur yahi wo jama shuda maadda hai jisko hum saayare aur sahabiye kahte hain. (1)

Laikin agar science ki is theory ko maan bhi lia jaaye to ab yahan ye sawal paida hota hai k ye khalal paida kaise hua iski kia wajah thi k ye khalal padhta hi gaya yahan tak k ek kayenaat ka wajood hua.

Laikin agar waqti taur par maan bhi lia jaaye k tamam sayyare suraj aur chaand ek jagah jama bhi hojayen to ye kia zaroori tha k wo ek doosre se itne faasle par ho jitna unhe hona chahiye. Aisa bhi mumkin tha k wo ek doosre se takra kar tabah hojayen.ye kia zaroori tha k suraj aur chaand aur doosre sayyaraon ka faasla zameen se utna hi ho jitan usey hona chahiye(yahan ek cheez ghaur karne ki hai k agar suraj zameen se maujooda faasle se kuch kum hojati to zameen kisi raakh k dher me tabdeel hojati ya agar kuch ziada faale par hota to zameen par zindagi k aasar khatam hojaate) aakhir wo kaunsi mantiq thi jisne sitaraon k wajood me aate hi inko laamutnahi fiza me nihayat baqayedgi k saath firana shru kardiya .

Fir wo kaunsi mantiq thi jo is kaayenat k ek chote se hisse me hairat angez taur par wo tamam cheezen paida kardin jo hamari zindagi keliye zaroori thin.abhi tak iska sahih aur tasalli baksh jawab hame nahi mil saka laikin Allah taala quran me 1400 saal pahle kah chukka hai k "wahi Allah jisne zameen ki kul cheezaon ko paida kia fir aasman ki taraf qasad kia in saataon ko theek thaak kia aur wo har cheez ko janta hai"(sure albaqara-29).aur isi tarha (sure sajda-04) me Allah taala farma raha hai "Allah wo hai jisne aasman o zameen aur jo kuch iske darmiyan me hai subko 6 din me paida kardiya fir arsh par qayam hua."aur isi tarha sure sajda ki hi aayath aayinnakum latakfuroon ki tafseel me farmaya k "kia tum Allah k saath kufr karte ho jisne zameen ko sirf 2 din me paida kia tum iskeliye shareek tahraate ho jo rab al aalameen hai jisne zameen me mazboot pahaad oopar se gaad diye.jisne zameen me barkatein aur rozian rakhin.aur 4 din me zameen ki sub cheezen durust kardin jisme janne walaon keliye jawab hai.fir aasmanaon ki taraf mutawajjah hokar jo dhuwen ki shakal me thei.farmaya k ai zameeno aur aasmanaon khushi ya naa khushi se aao to dono ne kaha aye Allah humto baraza o khushi haazir hain.2 din me in 7 aasmanaon ko poora kardiya aur har aasmaan me iska kaam baant diya aur dunya k aasmaan ko sitaaraon se mazeen kardiya aur inhe shaitanaon se bachaau ka sabab banaya ye hai andaaza is Allah ka jo bahot bada ghaalib aur bahot bade ilm wala hai."ye is sawal ka jawab hai k kaayenat(universe) kaise paida hui.aur bhi bahot si aayaten hain jo quran k kalam Allah hone me aur Allah ki wahdaaniyat ka sabot dilaati hain.

1 . jeemes janes ( mistress universe )
2 .maulana waheed uddin khan (haqeeqat ki talaash )
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
jazakAllah arshid unkal...very nice sharing..
 
Top