Woh hanste hain haamare saamne,

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Woh hanste hain haamare saamne,
shayad hamein tarpaane ke liye.
par hum to kambakht ro bhi nahi sakte,
zamaane ko ghum dikhane ke liye.

Khushiyan sab woh le gaye,
aanson hain bas aab mere liye.
par yeh aason bhi aab nahi dete hain saath,
in aankhon se bahene ke liye.

Bare sambhal kar rakhe the kadam humne,
unke saaye ko bhi bachaane ke liye.
par aaj apna hi saaya saath chor gaya,
humein tanhai ka ehsaas dilaane ke liye.

Ruke the hum har morh par,
unke intezaar ke liye.
aaj chor gaye hain woh ek naye morh par,
zindagi bhar intezaar karwaane ke liye

Bahut khushiyan hain aas-pass,
mujhe khush karne ke liye.
phir bhi koi wajah doondhti hoon,
shaayad main muskuraane ke liye.

Kuch yaadein hongi unke pass bhi,
humein yaad karne ke liye.
par woh kabhi humein na yaad kar payenge,
doondhenge kis bahane ke liye.

Kabhi to woh bhi sochenge,
humaare pass waapis aane ke liye.
lekin tub hum honge hi nahi,
unko pachtaane ka mauka dene ke liye.

 
Top