Yeh Mehfil Jo Aaj Saji Hai... Hoorain

  • Work-from-home

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Aslaam O Alaykum

Humari Aaj Ki Iss Mehfil Ko 4 Chaand Laganay K Liay Aa Rahi HaiN @Hoorain Siso....... YooN To Baaqi Sab Ki Tarah Hum InheN Bhi Nahi Jantay Aur Kuch Hi Threads MeiN In Se Takraao Huwa Hai To Hamesha Hi In Ki GuftGu Balkay Javabaat Se Dil Gul O Gulzaar Ho Gaya. Iss Liay Socha K In Ko Yahan Bula Kar Apnay Iss Thread Ko Rounaq Bakhshi Jaaey.
Aap Se Arz Hai k Aap Apnay Tamaam Keel KaanToN Samait Tashreef Le Aaiay, Mohtram @saviou Aur @shehr-e-tanhayi Aap Ko Welcome Karne K Liay AankheN Bichaey Kharay HaiN.

To Lijiay Sawalaat Shuruu

1. Aap Ka Asli Naam Agar Btana Chahen To.... Lakin Yeh Nick Name Rakhne Ki Waja Zaroor Btaaiay Ga.

2. Allah Taala Ne HumeN 4 MusamoN Se Nawaza Hai Sardi, Garmi, Bahar Aur KhizaN... Lakin Aksar Shaayer Log Apni Shaayeri MeiN PaanchweiN Mausam Yaani Pyaar K Mausam Ka Bhi Zikar Kartay HaiN,
Aap Ki Iss Baray Kiya Raaey Hai?
Jawab Sher Ki Soorat Bhi De Saktay HaiN.

3. Zindagi Khuda Ka Diya Tohfa.... Halaat O Waqiyaat Kabhi KhushiyaN Detay HaiN Aur Kabhi Ghum Se Humkinaar Kartay HaiN Aur DonoN SooratoN MeiN Insan Is Ka Izhaar Kuch Is Tarah Se Karta Hai
Zindagi Zinda Dili Ka Naam Hai
ya phir
Zindagi Hai Mar Mar K Jiay Janay Ka Naam
Aap Ki Kiya Raaey Hai Is Baray?

4. Paisa.. Zindagi Ki Aik Eham Zaroorat.... Is Ki Kitni Ehmiyyat Hai Aap Ki Nazar MeiN?

5. Agar Aap Ka 5 Laakh Ka Inaam Nikal Aaey To Sab Se Pehle Aap Kiya KareN Gay?

6. Paisay Ko Aksar Hath Ki Mail Bhi Kaha Jata Hai, Aap Iss Mail Ko Kaise Dhotay Hain?

7. Koyi Aap Se Be-Rukhi Se Paish Aaey To Kaisa Mehsoos Hota Hai?

8. Kabhi Aap Kisi Se Be-Rukhi Se Paish Aey HoN To Kiya Baad MeiN apnay Rawiay Par Kabhi Pachtaey?

9. Apni Shakhsiyat Ko Kuch Alfaaz ya JumloN MeiN Biyaan KareN. Sher Ki Soorat Bhi Keh Saktay HaiN.

10. Aap Ko Agar Kisi Weraan Jaga Par Kuch Arsa K Liay Akelay Jana Paray To Aap Apnay Sath Kiya Le Jana Pasand KareN Gay Aur Waja Bhi Btaiay Ga... Mobile. Laptop Ya Koyi KItaab?

11. Kiya Aap KASH Lafz Ka Aksar Istmaal Kartay HaiN?

12. AankhoN Ka Andha To Aksar Suntay Rehtay HaiN.... Lakin Zara Yeh To Btaiay K AQAL KA ANDHA Kiya Hota Hai Aap Ki Nazar MeiN?

13. Kayi Baar Suna K FlaaN AQAL SE PAIDAL HAI... Lakin Aaj Tak Samjh Nahi Paaey K Akhir Aqal Ki Sawari Hoti Koun C Hai To Zara aap Madad Kijiay.

14. Agar TAQDEER Aur TADBEER DonoN Insan Ko Zindagi Ki Haqeeqi KhushiyoN Se Duur Le JaayeN To Aap K Khyaal MeiN Insan Ko Kiya Karna Chahiay?

15. Yeh Silsala Aap Ko Kaisa laga Aur TM K SaathiyoN K Liay Koyi Paigham Dena ChaheN Gay?
Yeh Sawalaat To Bas Taarufi HaiN... Asal Aanay abhi Baaqi HaiN.
 
  • Like
Reactions: saviou and Fantasy

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waalaikum assalam,,,bohat shukrya k aapne hamain is qabil samjha.aur tareefon ka to bohat ziada shukrya:p
btw tanhayi saans le lo inne saare sawal aik sath :-ss:p

Reactions: shehr-e-tanhayi

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
waalaikum assalam,,,bohat shukrya k aapne hamain is qabil samjha.aur tareefon ka to bohat ziada shukrya:p
btw tanhayi saand le lo inne saare sawal aik sath :-ss:p
ab saa hi saa hai... aap ruk ruk k javab de lo, main tab tak ghar ka koyi kaam kar lon.
 
  • Like
Reactions: Hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
1. Aap Ka Asli Naam Agar Btana Chahen To.... Lakin Yeh Nick Name Rakhne Ki Waja Zaroor Btaaiay Ga.

Asli naam: Humaira
Nik rakhne ki wja meri bhateeji hain unka name Hoorain hy to ziada jago pe main Hoorain nik hi use krti hu!

2. Allah Taala Ne HumeN 4 MusamoN Se Nawaza Hai Sardi, Garmi, Bahar Aur KhizaN... Lakin Aksar Shaayer Log Apni Shaayeri MeiN PaanchweiN Mausam Yaani Pyaar K Mausam Ka Bhi Zikar Kartay HaiN,
Aap Ki Iss Baray Kiya Raaey Hai?
Jawab Sher Ki Soorat Bhi De Saktay HaiN.

Pyar ka mousam :-?,,yani ab pyar b mousami hone lg gya? :p Pyar na hua bukhar hogya ;)) khair aaj kal ki muhabbat ka agar aap zikar kr rhi hain to waqe hi "Mousami Bukhaar" oh i mean "Mousami pyar" hy jo har badalte mousam k saath badalta rehta hy:p
Sachi Muhabbat k liye alag se koi mousam nhi hota ye to har mousam aur halaat may rehti hy,,To main shayron ki is mubalgha aarai aur fitrat se chair chaar (panchwa moousam bnane )pe muttafiq hi nhi hu :p

3. Zindagi Khuda Ka Diya Tohfa.... Halaat O Waqiyaat Kabhi KhushiyaN Detay HaiN Aur Kabhi Ghum Se Humkinaar Kartay HaiN Aur DonoN SooratoN MeiN Insan Is Ka Izhaar Kuch Is Tarah Se Karta Hai
Zindagi Zinda Dili Ka Naam Hai
ya phir
Zindagi Hai Mar Mar K Jiay Janay Ka Naam
Aap Ki Kiya Raaey Hai Is Baray?

"Zindagi zinda dili ka naame hay,murda dil kia khaak jiya karte hain" Main iski qayl hu!
Maire khayal hy k qismat may likhi hui aazmayshain insan pe aani hi hain aur as ALlah says" ALlah kisi jaan par uskki taqat se bhar kar boujh nhi dalta" to ye mind may rkhain "k in halaat ko face krne ki qabliyat muj may hay issi liye ye halaat mere saamne hain" phir pursakun tareeqe se jeena itna b mushkil nhi rehta k us k liye Zindagi Hai Mar Mar K Jiay Janay Ka Naam bolne ki nobat aaye,, wese b mar mar k jeene se halaat badal nhi jate,,Calm rehne se phir b behtar halaat peda kiye ja sakte hain!

4. Paisa.. Zindagi Ki Aik Eham Zaroorat.... Is Ki Kitni Ehmiyyat Hai Aap Ki Nazar MeiN?
BIlkul eham zarurat hay!,itni ehmiyat hy k aap ki zaruriyat-e-zindagi ehsan tareeqe se poori hoti rhain magar Paisa itna eham nhi hona chahiye k us k liye apne azeez rishto aur choti choti khushi ko pas e pusht daal diya jaye,,Balance rahe bas!

5. Agar Aap Ka 5 Laakh Ka Inaam Nikal Aaey To Sab Se Pehle Aap Kiya KareN Gay?

Hajj karugi Ammi k sath InshaAllah! (kab nikal rha hy wese ye inaam? :p)

@shehr-e-tanhayi @saviou
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Kehtay hain k ghussa aqal ka dushman hota hai. Ghum insaan ko deemak ki tarah khaa jata hai magar ghussa aqal ko pee jata hai.. mujhe is baat ki samjh nahi aati k aqal khanay ki cheez hai ya peene ki? kiya samjhanay mein madad karen gi?

Aap ko Ghussa aata hai to kiya jo cheez hath mein ho, zameen par paTakh deti hain apnay ghussa ka izhaar karne k liay YA phir ghussay ko qaabo mein rakhne k liay daant par daant jamaaey rakhti hain?

@Hoorain @saviou @Shiraz-Khan
 
  • Like
Reactions: Hoorain

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
1. Aap Ka Asli Naam Agar Btana Chahen To.... Lakin Yeh Nick Name Rakhne Ki Waja Zaroor Btaaiay Ga.

Asli naam: Humaira
Nik rakhne ki wja meri bhateeji hain unka name Hoorain hy to ziada jago pe main Hoorain nik hi use krti hu!
Masha Allah Piyara Naam Hai.
 
  • Like
Reactions: Hoorain

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
2. Allah Taala Ne HumeN 4 MusamoN Se Nawaza Hai Sardi, Garmi, Bahar Aur KhizaN... Lakin Aksar Shaayer Log Apni Shaayeri MeiN PaanchweiN Mausam Yaani Pyaar K Mausam Ka Bhi Zikar Kartay HaiN,
Aap Ki Iss Baray Kiya Raaey Hai?
Jawab Sher Ki Soorat Bhi De Saktay HaiN.

Pyar ka mousam :-?,,yani ab pyar b mousami hone lg gya? :p Pyar na hua bukhar hogya ;)) khair aaj kal ki muhabbat ka agar aap zikar kr rhi hain to waqe hi "Mousami Bukhaar" oh i mean "Mousami pyar" hy jo har badalte mousam k saath badalta rehta hy:p
Sachi Muhabbat k liye alag se koi mousam nhi hota ye to har mousam aur halaat may rehti hy,,To main shayron ki is mubalgha aarai aur fitrat se chair chaar (panchwa moousam bnane )pe muttafiq hi nhi hu :p

jee lagta to kuch aisa hi hai......
khansi huyi na maleriya huwa
love love love loveriya huwa
iss se to yehi lagta hai k mausami bukhar hi hai................ magar yeh baat har aik pe to laagu nahi hoti naa?
Sachi Mohabbat Ki Defination Aap Kaise KareN Gi.....................?
Shayer LogoN Ki Fitrat Se ChaiR ChaaR Qaabil e PakaR Hai Lakin Mujhe Aap Se ChaiR ChaaR Mein Chai K Cup Se Bhi Zyada Maza Aa Raha Hai... To Lagi RahoN Na Sawal Karne?
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
jee lagta to kuch aisa hi hai......
khansi huyi na maleriya huwa
love love love loveriya huwa
iss se to yehi lagta hai k mausami bukhar hi hai................ magar yeh baat har aik pe to laagu nahi hoti naa?
Sachi Mohabbat Ki Defination Aap Kaise KareN Gi.....................?
Shayer LogoN Ki Fitrat Se ChaiR ChaaR Qaabil e PakaR Hai Lakin Mujhe Aap Se ChaiR ChaaR Mein Chai K Cup Se Bhi Zyada Maza Aa Raha Hai... To Lagi RahoN Na Sawal Karne?
ji bilkul laggi rhain meri traf se koi aitraz nhi :p
bas meri traf se jwabat thore late hongey thori si masruf hu,,,us k liye maazrat :-ss
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
ji bilkul laggi rhain meri traf se koi aitraz nhi :p
bas meri traf se jwabat thore late hongey thori si masruf hu,,,us k liye maazrat :-ss
woh to lagi hi rahon gi jaise jaise fursat milti rahi......

saath mein sawal bhi thaa ... uska javab ?
 
  • Like
Reactions: Hoorain
Top