Yeh Watan Tumhara Hai, Amanat Ali Khan

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
34
Yeh Watan Tumhara Hai,

Yeh vatan tumhara hay

tum ho Pasban iss kay
Yeh chaman tumhara hay
tum ho naghma khwan iss kay
Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay


iss chaman kay phoolon par
rung o aab tum say hay
is zameen ka har zarra
aftab tum say hay
yeh faza tumhari hay
behr-o-bur tumhaaray hain
kehkeshan kay yeh jagay
rehguzar tumhaaray hain


Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay

is zameen ki maTTi main
khooN hay shaheedon ka
arz e pak markaz hay
qaum ki umeedon ka
nazm-o-zabt ko apNa
meer-e-karwan jaNo
waqt kay undheron main
apNa aap pehchaNo


Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay

yeh zameen muqadas hay
maan kay pyar ki surat
is chaman main tum sab ho
barg-o-bar ki surat
deKhNa gun.vana mat
daulat-e-yaqeen logon
yeh watan amanat hay
aur tum ameen logon


Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay

meer e Karvan hum thay
rooh e Karvan tum ho
hum to sirf unwan thay
asl dastan tum ho
Nafraton kay darwazay
khud pay bund hi raKhna
is watan kay parcham Ko
sar baland hi raKhna


Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay
Yeh chaman tumhara hay
tum ho naghma khwan is kay
Yeh vatan tumhara hay
tum ho Pasban iss kay

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top