Zamee’n pe Murdey

  • Work-from-home

S.Sohail

Newbie
Jun 10, 2011
3
1
0
Zamee’n pe Murdey



Baaz chehroo’n main Allah itni kashish rakhta hey k lakh koshish kro k na daikhain ye sahi nahi mager nigah khud ba khud uth hi jati hey, wo bhi aisi hi thi sub se alag, khoobsurat aur ek dum munfarid,abhi main us k seher main gum hi tha k kisi ne is zor se koni mairi pasliyoo’n ma mari k mairi cheekh hi nakal gai,be ikhtiyar main ne ghussey se braber main daikha mairi class fellow kiran khari thi boli insan bano ziyadha na ghooro usey kyoo’n khawateen se mar khaney pe tuley ho,mai'n ne pocha kon hey wo pari paiker ,wo boli Mariam hey us ka naam Aaj kal haqooq-e-niswa’n k hawaley se is ka buhat naam hey aur jo khawateen ka izhdiham tum daikh raho ho na ye usey hi sunney aaye hain abhi hum guftago main masroof hi they k wo mike pe aagai us ki awaz bhi us ki trha khobsurat thi ya phir mujhey hi us ki her ada bha rahi thi main kuch yaqee’n se keh nahi sakta aaiye aap ko bhi sunatey hain wo kia keh rahi hey
Wo keh rahi hey ” yaha’n bari bari tanzimai’n hain aur ek se ek khawateen hain jo khawateen ki aazadi k liye sergarm hain mager taqreeroo’n aur tasveeroo’n aur hamari mazlomiyet,bebasi aur bekasi dunya ko dekha k apni NGO k liye imdad lainey se ziyadha nahi kia kisi k pas ye data mojod hey k sale—guzishta main kitni khawateen ney baivgi ki chader orh li kitney bachey yateem huwey,tras khaney aur izzat dainey main farq hota hey hum tu wo hain jin pey jib bhi is muashrey main kisi ney nigah dali tu ya tu hawis ki dali ya taras ki dali,hum khatey hain,peetey hain,boltey chaltey hain mager hum zindha nahi hum “Zami’n pe Murdey” ki trha hain jis k barey main log jald hi bhool jatey hain,hamri maa benai’n jub apney baitoo’n aur bhaiyoo’n k liye rishtey dhondney nikalti hain tu wo kabhi kisi baiva ko nahi daikhti’n chahey wo kitni hi khobsurat,ba ikhlaq aur ba salahiyet kyoo’n na ho us k oper zindagi tamam khushya’n haram ho jati hain kia” us ki awaz bherra gai hey,aur wo khamoosh ho gai hey shayed apni aankhoon main aaney waley aansoo’n ko peeney ki koshish ker rahi hey, us ney chock ki taraf ishara kertey huwey kaha” haa’n yehi wo jagha hey jaha’n aaj se do sal qabl maira shoher kisi injani goli ka shikar huwa usey tu ye bhi nahi pata tha k usey kyoo’n mara gaya wo tu mairi liye gajrey lainey nikla tha k usey gulab k pholoo’n k gajrey mairey hathoo’n main buhat achey lagtey they,main wo lamha kabhi faramosh nahi ker sakti jub main ney gher k darwazey pey usey hathoo’n main surkh gulab k gajroo’n ki jagha kuch logoo’n k hathoo’n main khoon se surkh kaproo’n main us ki lash daikhi aur phir us din se mairi tamam khushya’n khatem ho gai’n aisi main akaili nahi aisi khawateen hum her saal hazaroo’n ki tadad main taiyar kertey hain,in dehshat gerdoon ki samajh main ye kyoo’n nahi aata k is firing ki zed main un ki apni maa’n aur behan ka suhag bhi tu aasakta hey aur phir un se barey dehshat gerd tu hamarey itraf k log hotey hain wo dehshat gerd tu hamin sirf ek bar martey hain mager ye hain ta zindagi martey hai’n kisi ko hamari khushi ka koi khyal nahi hota kisi ko na hamari aahai’n sunai daiti hain na hamri rohoo’n ki chikhain mujhey is muashrey se koi umeed nahi mager main apney rab se na umeed nahi wo hamarey liye wo Tulo-e Seher zaror laye ga hum jis k intizar main hain.”

Wo chali gai main jo us ki taqreer sey pehley us k husn k seher main griftar tha ye jan k k wo ek baiva hey ab is seher se baher aa chukka tha k aakhir main bhi tu aap logoo’n main se hi ek hoo’n koi juda tu nahi.
 
Top