Barishon ka mausam hai
Rooh ki fizaon mein
Ghamzada hawa'ain hain
Be-sabab udasi hai
Is udas mausam mein
Be-qarar raaton ki
Be-shumar batain hain
Un ginat fasanay hain
Jo bohat khamoshi say
Dil pay sehtay rehtay hain
Aur ba-amr-e-majburi
Sab say kehtay phirtay hain
Aaj Mosam Acha Hai
Aaj Hum Bohat Khush Hain....!
Aaj Hum Bohat Khush Hain....!
@Fantasy , @ujalaa @Zunaira_Gul
arzi_zeest @Armaghankhan @Kavi @Siyaah_Posh