Coffee With REDROSE- Bahaar

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

*Maryam*

*"T"* I desErve ThE BeSt n thE BeSt is YOU *"T"*
Super Star
Feb 12, 2010
7,334
3,408
913
Riyadh KSA
nice rplies Bahar...:)
acha to ap abi choti si ho...pr batyn kafi wise hoti hn...
subjects kya hn ap k...?
2nd Qn..ap ny TM dce 2009 m join kiya bt ap last 1 do 2 months m hi nazr aai hn ...kyn...?
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
actually soone se pehle thore sawal karke jata ho..kia pata subah nai uthne ka moqa mile..
1. akhir apke gusse mei aisa kia hai jo abhi tak tm par nai bharsa hai..?..
Ans... abhi tak iski naubat nahi aayi..kisi ne koi ghussa dilane wali baat nahi ki..
2. koi waqiya sunae jis par apne apna gussa nikala ho..aur uske effects kia howe the..mahool kesa hogaya tha..logo ki raye kia thi apke bare mei...gussa jo kiya tha woh solid reason ki waja se kiya tha ya pher galti se gussa agia tha?...
Ans.. Ghussa to chahe wajhe koi bhi ho,mahol ko kharab kardeta hai..Meri Mom ko ye meri adat bilkul pasand nahi..
aur mujhe Ghussa koi bari wajhe par hi aata hai aur bahut kam aata hai magar jab aata hai to i cnt controll my self.
But the most intersting thing k jabse meine TM join kiya,yahan k log,yahan ka atmosphere dekhkar mei apne ghusse ko bhool si gayi.
And yahan mei saviouji ka zikr karna chahungi k unse baat kar k unke threads read kar k meine apni ye adat badalne ki koshish zarur ki.
Im thankful to Him..Koshish me kamyab hui ya nahi,ye to jab ghussa ayga pata lagega.
Mujhe zyada tar badikhlaqi par bahut ghussa aata hai jo bacche aksar apne parents se ya baron se battameezi karte hain..
Ji haan..ek aisa hi waqea,,Ek larki ko jo k shayed meri hi humumr thi apni maa se nehayat battameezi se pesh arahi thi,aur jab mujhse bardasht na hua to
meine sar e aam hi usko thappar mara tha..Log bahut hairan rah gaye..halankay mujhse unka koi relation nahi tha..
Baad me mujhe Mom se daant pari aur mujhe bhi afsos hua k meine mahfil kharab ki..Log is reaction ko bura hi kahenge par agar mujhe phir kahin lagega to mei shayed mera reaction yehi hoga..I dnno k im wrong or right..but aisa hi kuch hogaa..

3. kabhi afsoos howa gussa karne par..
Ans.. Ji haan hua afsos magar ghusse par nahi balkay dusro ko distb karne ka
4. jo log gussa karte hein, unke lie kuch advice?..
Ans.. Nahi ji...Ghussa buri cheez hai..shayed hum jo baat ghusse se karte hain usay sahulat se bhi manvaya ja sakta hai..
My advice k koi meri tarha Ghussa na kare,mushtael hona kharab adat hai.

5. gussa karte waqt ap bhi dosro larkiyo ki tarah roo parti ho baad mei..ya pher apka gussa kabhi jata nai..aur uski waja?
Ans.. Nahi mujhe ghusse k waqt rona nahi aata..Ye raaz Saray TM ko pata chal raha hai k mera ghussa sirf 5 mint ka hota hai
aur mei kisi k liye Dil me bughz nahi rakhti..Ghusse k saath sab dhul jata hai.

6. gussa karne ke baad ap kia karti ho..
Ans Mei yehi dua karti hun k ye adat meri khatam hojaye
7. apna gussa kaise thanda karti ho
Ans.. Mera Ghussa srf 5 mint ka hota hai.khud hi cool dwn hojati hun
8. idhar aj tak kisi member par thora sa bhi gussa aya...aya to kis waja se aya..be honest...
Ans.. Ji haan mujhe ghussa aya ek member par..aate hi meri unse laraayi hui bahut shadeed bahut dino tak jang jari rahi
but abb nahi..Meine pahle hi zikr kiya k mujhe ghussa sirf battameezi p aata hai aur yehi wajhe thi..

9. idhar forum mei apko kon sab se ziada angry member lagta hai?..uski waja?..
Ans.. Mujhe yahan par koi bhi angry member nahi hai,shayed isliye k mei hi apne aap ko bahut sakht mizaj samjhti hun.
10. kia friendship ke relation par agar koi dost gussa karta hai to uski sab se bari waja kia hoti hai?..aur is relation mei gussa karna aik dosre par theek hai ya nai?..hai to kyon hai..nai to pher kyon nai?..
Frndship wo khubsurat relation hai k isme har baat bhali lagti hai..ghussa,pyar,,daant,,roothna,manana in baato se is rishte ko mazbuti milti hai
Jo dost aapko ghussa kare,apki bhalayi k liye ya apko ghalat kam se rokne k liye to ye jayez hai aur yehi sacche Dost ki pahchan bhi hai

11. kia jo log bht possessive hote hein..woh gusse ke bht tez hote hein?..
Ans... Ji mere khayl me jo aapka behadd khayal rakhte hai,,apko chahate hain,jinhe apki fikr hoti hai,wo apke liye kabhi burayi bardasht nahi karsakte aur
isi wajhe se unko ghussa aata hai.

12. Idhar ap tooba ko to janti hi ho..to woh jo gussa karti hein..woh kia theek karti hein..ya pher unhe nai karna chahiye gussa..kia apko lagta hai ke woh gussa karti hein ya nai?..yeh sawal is liye pocha kyonke ab ap tooba sis ko jhaan hi chuki hogi...
Ans... meine Toobi ko jahan tak jaana hai ya mei jabse yahan ayi hun.meine kabhi unhe ghusse me nahi dekha,
han ye aur baat hai k thread me reply wo situation k lehaaz se karti hain ya unko comments par ghussa ata ho..

13. kia khush mizhaj log gussa karsakte hein?...
Ans.. Ji haan...Aisa bilkul nahi hai k ghussa karnewala shaks khush mizaj na ho..
Ghusse k maanay bilkul apni tahzeeb aur apni zaban ki hadd paar karne k nahi..
Zaruri nahi k ghusse me aap apne aadab o ikhlaq ko bhool jao..ye jahalat ki nishani hai

14. kia chooto ya baroo par gussa karna chahiye..ya unhe hamesha pyaar se samjhana chahiye..aisa kyon sochti ho ap.?..
Ans.. Aaapne saray sawalath hi Ghusse par kiye hain...Ghussa karna hi nahi chahiye..na baron par na choton par..
Choton se to shafqat ki takeed humare Huzur Rasool SWW ne bhi ki..Baron par ghussa jayez nahi..unki shaan me gustakhi tahzeeb k khilaf hai.

15. Last, but not the least..apko mere yeh sawal ke jawab dei kar kesa laga...kia mera yeh sawal karna theek laga..ya mujhe nai karna chahiye tha...agar maine kiya to kis waja se kiya..kia ap bata sakti ho..give a try atleast?...
Ans..Apke sawalath k javabat dekar mujhe isliye accha laga k sab k samne meine apni khaami khud bayan kardi..
Hahaha...shayed TM p mere sakht ravayye se pareshan hokar aapne ye sawalath kiye..
Shukriya farry aapke sawalath na sirf mere liye balkay parhnewalon k liye bhi Dilchasp honge..
Akhir me mei yehi kahna chahungi k Ghussa haram hai..jahan tak hosake mahol ko pursukoon rahkar suljhane ki
koshish karen..aur mei bhi yehi koshish karti hun..Allah hum sabko ye taufeeq de..Ameen

 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
thx 4 repling dear...
u k papa nay bilkul teek nam rakka hay,u siraf apnay gar k lie nae,bal k hamaray tm may b bahhar bun k i ho...
Thankooo Toobi....
Koshish karungi k mei bahaar hi banke rahun...
Thanks a lot
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
nice reply bahar...or thx k u un say ziada behtar tor par mujy samjte ho,jo tum say pehlay mujy jantay hay..
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
nice rplies Bahar...:)
acha to ap abi choti si ho...pr batyn kafi wise hoti hn...
subjects kya hn ap k...?
2nd Qn..ap ny TM dce 2009 m join kiya bt ap last 1 do 2 months m hi nazr aai hn ...kyn...?
Thankooo Mari..
Mere Sub..Biology,chemistry & physics
Actually..mujhe pata na tha k yahan itna intersting hai aur mujhe pahle postings waghaira
karna bore lagta but jaise jaise frnds bante gaye aur yahan ka Atmosphere acha laga to daily aane lagi
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Ideal personality to sirf Allah k Nabi Humare Rasool Hazrat Mohd Mustafa SWW ka alawa koi nahi..
Sahabiat Aur Sahaba ne Hazrat k nakhshe qadam par chalne ki koshish ki par ideal nahi kahla sakte..
Mujhe ek hi sahabi ki ada bahut pasand aayi Wo thy H.Owais jinko Huzur SWW se itni aqeedat thi k unhone jab suna k
Rasool SWW k daant shaheed hue to apne bhi daant tor liye..
Is daur me phir humko Ek Mustafa SWW ki zarurat hai..
Qurb e Qayamat k asaar hain to Ideal koi nahi hai..
Haan jahan tak taleem O tarbiyat ki baat aati hai mere waledain mere Ideal hain..

masha Allah :)

jee hamare liye har tarah se ideal Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ki zaat e pak hai isme koi shak nahi
aur hazrat owais sahabi nahi the balke behtareen tabaeen me se hain :)

masha Allah bohot hi acha jaa raha hai apka interview

to mohtarma Bahar Nazeer aap thora apne naam k maine batayen :)
apko TM par sabse pehle kise dosti huyi
TM join karne aur isse bane rehne ki koi khaas wajhe
TM me sabse zyada konse section me apko posting karna acha lagta hai
suna hai aap behtareen shayara bhi hain to kuch apki qalam se likha bhi hame sunaden :)
aur apk TM par hame invisible rehne ki wajhe kya hai ?

baki sawalat in jawabat k baad :)
 

*Maryam*

*"T"* I desErve ThE BeSt n thE BeSt is YOU *"T"*
Super Star
Feb 12, 2010
7,334
3,408
913
Riyadh KSA
Thankooo Mari..
Mere Sub..Biology,chemistry & physics
Actually..mujhe pata na tha k yahan itna intersting hai aur mujhe pahle postings waghaira
karna bore lagta but jaise jaise frnds bante gaye aur yahan ka Atmosphere acha laga to daily aane lagi
you welcome..:)
anhan...science subjects...dats gud...bt mjhy laga shyed urdu adab prhati hn..bcz mashAllah inni achi urdu h apki..:)
 
Status
Not open for further replies.
Top