Dhoop k saath gaya saath nibhaane waala,
Ab kahan aaye ga wo lout k aane waala,
Rait par chhorr gaya naqsh hazaaron apne,
Kisi paagal ki tarah naqsh mitaane waala,
Sabz shaakhen kabhi aise to nahi cheekhti hain,
Kon aaya hai parindon ko daraane waala,
Aariz_e_shaam ki surkhi ne kiaa faash use,
Bardaa_e_abr main thaa aag lagaane waala,
Safar_e_shab ka taqaaza hai mere saath raho,
Dasht pur_haul hai toofaan hai aane waala,
Mujh ko dar-parda sunaata raha qissa apna,
Agle waqton ki hikayat sunaane waala,
Shabanami ghaas, ghane phool, larazati kirneain,
Kon aayaa hai khizaanon ko lutaane waala,
Ab to aaraam karen sochti aankhen meri
Raat ka aakhri taaraa bhi hai jaane waala...!!!