bohat ache tharaid hai in rasmo riwaj par bat karnay ko bohat hai maqar ya siraf bat ki had tak hi rah gya hai is bat ko tu sabhe mantay han k ya rasumat fazol han par in ko chornay ko koi tayar nahi chahay wo ameer ho ya gareeb ya msala sab k sath hai in sahde byah ki rasmo main kya nahi hota ? is main wo sab hota hai jo ham aam dino main kabhe karna pasand nahi karain gay . sab say bare la.nat jis ko ham sab mantay han wo sab han is shade byah main
1) jahaiz , jis ki waja say kai larkiyan kabhe bhe dulhan nahi ban pate
2)dulhan walon par bohat zida boj dalna chahay us ki sorat kuch bhe ho ,,jis ki waja say larki walay qaraz tak uthanay par majbor ho jatay han jo kise tabahi say kam nahi
3) bohat zida aazadi jo larkiyon ur larkon ko mil jate hai ,jis ki waja say wo nachte phertay han ur apnay ap ko kise filam ka hero ya heroin tasawar kartay han.
4) sare rat behoda qisam ka nach ganay jo ham apne aam zindgi main sun.na sahid pasad bhe nahi kartay .jaisaay ham pechlay dino aik shade par gay jahan ,koi shela ki jawane par nach raha tha ur koi kah raha tha muni badna hoi .
5) badmuaash kisam k move bananay walay hamre apne maon bahnon kay bech gomtay pheray ur un k jismon say apnay jism mas kartay nazar atay han ur tu ur nai naweli dulhan jis ka abhe us kay shohar nay gongat bhe nahi utara hota us kay gongat k pallon ko bhe wohai darust kartay nazar atay han ur ya bat aam hai jo dulhan is rasmo riwaj main agai usay ya sab karna hi parta hai ache move ban.wanay k leay ur acahe tasweron k leay .,ham aik din hal rod par gay tu wahan ham nay daikha aik shade ki move ki adetign ho rahi the us main mhende par khuch larkiyan nach rahai the jesay sab mazay say rok rok kar daik rahay thay ur un k jimson ki tareef kar rahay thay ham nay un say bhai ap ya kya kar rahay han tu un sahib nay kaha ya ap ki koi ristay main han ? ham nay kaha k ya hamre rishtay main tu koi nahi magar islmi lehaz say ya hamre bahnain han tu us nay kaha k phir in ko mana karo k ya move na banwaya karian ur us nay zor ka kah kaha lagaya
6)ham nay daikha hai k sahde suda mard ur sahde shuda urtain bhe ise moqay par dosray mardon ur urton say bay takl.luf hotay han
7)mayon .mahnde .gana bandan. dodh pelai . jote chopana .ya rasmain lakiyon ur larkon ko bohat pasand han ur yahi in ko bohat bare kharabhe ki taraf lanay main bohat madad gar sabit hote han .
aj ki sahde main jo bhe rasomat han wo sab ki sab islam k khilaf han .
sahde pay hi insan ko sahi tor par parkha jasakta hai k wo kitna muslim hai maire in baton say koi itfaq karay ya na karay sach tu yahi hai k hamin in sab ko chorna hoga ur apne asal ki janib lotna hoga warna aik din ham muslim kam ur hindo ziada lagnay lagain gay
shukriya