********************
Ilaahii kaash gham-e-ishq kaam kar jaaye
Jo kal guzarnii hai mujh pe abhii guzar jaaye
Tamaam umr rahe ham to Khair kaanton main
Khudaa kare teraa daaman gulon se bhar jaay
Zamaanaa ahal-e-khirad se to ho chukaa maayuus
Ajab nahiin koii diiwaanaa kaam kar jaaye
Hamaaraa hashr jo kuchh huaa, huaa lekin
Duaa ye hai ke terii aaqabat sanwar jaaye
Nigaah-e-shauq wahii hai nigaah-e-shauq "Shamim"
Jo ek baar rukh-e-yaar par thahar jaaye
********************
( Shamim Jaipuri )