بسم الله الرحمن الرحيم
Istaqbal-e-Ramzan
Aap sab ko meri taraf se Ramzan ki rehmatain aur barkatain bohat mubarak hon,is thread may hum Ramzan k hawale se Quran o ahadith ki roshni may kuch ehkamaat aur Ramzan ki fazeelat pe kuch baat karain gey InshaAllah!
Aap sab ko meri taraf se Ramzan ki rehmatain aur barkatain bohat mubarak hon,is thread may hum Ramzan k hawale se Quran o ahadith ki roshni may kuch ehkamaat aur Ramzan ki fazeelat pe kuch baat karain gey InshaAllah!
Irshaad-e-rubani hay:
"Aey Emaan walo tum par roze farz kiye gey hain jaise k tum se pehle logon par kiye gey thay ta k tum parhaiz gaar ban jao" (Al-baqra:183)
Istaqbal e Ramzan k hawale se Nabi Akram Sallal'lahu ALaihy Wasallam ne sahaba karam(R.A) se khasusi Khitab farmaya..
- Ramzan ul Mubarak Islamic calendar ka Nova(9th) maheena hay..
- Ramzan ul mubarak ko nekio ka mousam-e-bahar kaha jata hy kio k is maheene may Allah Tala apni rehmaton aur bakhshsish k darwazey khol daita hay...
- Ramzan u Mubarak may Quran paak nazil hua...
- Ramzan ul Mubarak may shab-e-qadar hy jis aik raat ki ibadat hazar maheeno se behtar hy...
- Ramzan ul Mubarak k 3 ashrey hain
- pehla Ashra Rehmat
- Dusra Ashra Maghfirat
- Teesra hissa Aag se nijaat hy
Roze ki niyat:
Farz rozon k liye raat ko talu-e-sahar se pehle pehle roze ki niyyat krna zarur hy,,Rasul Akram Sallalahu Alaihey Wasallam ne farmaya:
"Jis ne fajar se pehle pehle raat ko rozey ki niyyat na ki uska roza nhi"(Sanan abi dawood)
Niyyat ka matlab dil ki niyyat hy Zuban se khasusi niyyat ki koi sanad Nabi Akram Sallalhu Alaihe Wasallam se sabit nhi...
Sehri khana zaruri hy:
Nabi Akram Sallahu Alihey Wasallam ka farman hy:
Hamare aur ehl-e-kitab k rozey k darmyan farq karne waali cheez 'Sehri ka khana hy'(Sahih Muslim, assiyam,baab fazal-al sahood:1092)
aik aur hadith may hy:
"Sehri khana bays-e-barkat hy is liye isse na choro chahey aik ghoont pani hi pee lo, kio k sehri k waqt Allah tala aur us k farishte sehri khaane waalon pr rehmat bhaite hain yaani ALlah tala rehmat bhejta hy aur farishte rehmat aur maghfirat ki dua karte hain"(al-fatah-ul-rubani)
Roza iftari may jaldi karna:
Nabi Akram Sallalahu Alaihey wasallam k zamana may yahood-o-nasara raat ki tareeki phailne ka intazar karte yaha tk k taarey nazar aane lagte phir iftari karte ,,Taham Musalmano ko Hazrat Muhammad Sallahu Alaihey Wasallam ne iftari may jaldi karne ka hukam diya:
"log is waqt tak hamesha bhlayi may rhain gey jab tk roza kholne may jaldi karain gey"
Roza kis cheez se iftar kiya jaaye:
"Hazrat Ans(R.A) se riayat hy k Hazrat Muhammad(PBUH) ka mamul tha k nimaz e maghrib se pehle taza khajooron se roza iftar karte,agar taza khajoorain na hoti to chuwaron se roza iftar farmaate agar wo b na hote to paani k chand ghoont nosh farma laite"(sanan abi dawood,assyam,baab ma yaftar aleh:2306)
Dua ki qabuliyat ka waqt:
Sara din ALlah ki raza k liye bhook piyas aur dusri khwahishat ko control rakhne k baad momin ko Allah k haan aik khaas muqam hasil hota hy..
Aik hadith may Hazrat Muhammad(PBUH) ne farmaya:
"Iftari k wat rozdaar ki dua radd nhi ki jaati"(sana ibn-e-maja,assyam:1803)
Iftari k waqt ki dua:
Iftaar k waqt ye dua parhi jaani sahih ahadith se sabit hy:
Roza iftar karwane ka sawab:
Nabi Akram (PBUH) ne farmaya:
"Jis ne kisi rozedaar ka roza iftaar karwaya ya kisi ghazi ko tyar kiya to us k liye b is k brabar ajar hy"..(Sharah Alsunnat,baab sawab min fatar sayma:3903)
Jhoot se:
"Prophet uhammad(PBUH) ne farmaya jis shakhs ne jhoot bolna aur jhoot par amal karna na chora to Allah Rabbul Izzat ko koi zarurat nhi hy k aisa shakhs khana peena chor dey,,(yaani ALlah k haan aise roze ki koi ehmiyat nhi) [Sahih Bukhari,Alsoam:1903)
Laghv aur rafas se :
Nabi Akram Sallalahu Alehe Wasallam ne farmaya:
"Roza sirf khana peena chorne ka naam nhi,roza to laghv aur rafas se bachne ka naam hy,is liye agar koi tujh se jahalat se paish aaye to tu teh dey k main to bhae rozedaar hun"(Sahih ibn-e-ghazeena)
laghv aur rafas kia hy?
- Laghv: behooda aur befaia kaam ko kehte hain
- Rafas :jinsi khwahishaat par mabni batain aur harkatain hain..
Kitne badnaseb hain wo log jo saara mahena roze rakhne k bawajud ibadat ka haq ada nhi kar paate aur na hi iski rooh ko samajh pate hain..
Rasul Akram Sallalahu Alehy Wasallam ne farmaya:
"kitne hi rozedaar hain jinhe siwaye piyas k roza rakhne se kuch nhi milta,aur kitne hi shab baidar hain,jinko siwaye bekhwabi k shab baidari se kuch hasil nhi hota"[masnad ahmad]
Dua
Allah tala se dua hay k wo hamain is babarkat maheene may ziada se ziada ibadat kne ,khashu-o-khazu wali nimazain ada karne ,izkaar krne aur apne shakhsiyat ka muhasba krne ki tofeeq ata farmayain, Hamare tmam gunah-e-sagheera o kabeera maaf farmayain,aur apni aaynda zindagi may b in tmama buraiyo se bachne may hmari madad farmayain,,Allah tala hamain Nabi kareem(SAW) k btaye huye tareeqo k mutabi unki sunnat ki prwi karte huye ramzan guzarne aur ibadaat ka haq ada karne ki tofeeq ata farmayain,,
Alla tala hamain hidayat ka rasta dikhayain aur hamesha us pe chalne may hmari madad farmayain Aameen,
Jo kaam/batain/cheezain Allah k nazdeek napasandeeda hain Allah rabbul izzat hamare dilon may b un baaton/cheezn/kamo k liye napasandeedgi aur bezari paida farm dain,Hamare dilo ko hidayat k liye khol dey hamare dilon may aik dusre k liye narmi aur husn-e-salook k jazbaat paida farmayain aur tmam umar apne aajiz aur shukar guzaar bando may shamil farmaye rakhey AAMeen Sum Aameen