kabhi kabhi merey dill mai.n khayyal ata hay

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
kabhi kabhi merey dill mai.n khayyal ata hay
k zindagi teri zulfoo.n ki narm chaoo.n mai.n
guzaraney paati tu shadab ho bhi sakati thi
ye teergi jo meri zeest ka muqaddar hay
teri nazar ki shuaao.n mai.n kho bhi sakati thi
ajab na tha k mai.n begana-e-alam ho kar
tere jamaal ki ranaiyo.n mai.n kho rahata
tera gudaz badan terii neem-baar aa.nkhai.n
inhi haseen fasano.n mai.n meh'v rahata
pukaratee.n mujhe jab talkhiyaa.n zamane ki
tere laboo.n sey halawat k ghoont pee leta
hayat cheekhati phirati barehana-sar, aur mai.n
ghaneri zulfoo.n k saye mai.n chup k jee leta
magar ye ho na saka aur ab ye aalam hay
k tu nahi, tera ghum, teri justaju bhi nahi
guzar rahi hay kuch is tarah zindagi jaise
ise kisi k sahare ki aarzo bhi nahi
zamane bhar k dukhoo.n ko laga chuka hoon galey
guzar raha hoon kuch anjaani guzar_gaahoo.n sey
muheeb saaye meri simt bartey aatey hai.n
hayaat-o-maut k pur_haul khaar-zaroo.n sey
na koi jada na manzil na roshani ka surag
bhatak rahi hay khalaaoo.n mai.n zindagi meri
inhee.n khalaaoo.n mai.n reh jaoo.n ga kabhi kho kar
mai.n jaanataa hoo.n meri hum-nafas magar yoon hi
kabhi kabhi merey dill mai.n khayaal aata hay
 
Top