Asalamo aliekum
frnds yehan main aap se 1 question karna chahoon gi jo k Allhamdulliha meri nahi na hi hogi:{(*
lakin bohat se longo ki hai..k kis tarha koi shaks khudkushi karne par tayyar hojata hai
wo konsay factors hain jo usay ye karnay par majboor kartay hain.
hamaray mazhab islam main ye haram hai aur aisa shaks dozak main jye ga lakin ye jannay k bawojood koi muslim kis tarha aur kyun apnay aap ko khatam karnay par majboor hojata hai..kia us k zahan main ye nahi hota k marnay k baad main dozak main chala jaon ga phir b aisa karta hai
plz aap log apni rai batye
Kia yaad dila dia aap nain. Now yaad karing apna situation.
Personal experience hai so share kar rahi hoon.
Kis tarha ho jata hai khudkushi pay amada:
Jub her taraf say tamaam rastay bund ho jain ya us person ko lagay kay ub meray liaay koi rasta naheen bacha siwaay marnay kay sari mushilaat say buchnay ki yani her taraf say mayoos ho jata hai to phir ussay apni zindagi ka khatma sub say asan hal nazar ata hai.
Us waqt mujhay yay bhi naheen pata tha kay mayoosi kufr hai. Ya shayad pata ho per tension main yaad na ho.
Ya itni achci tarha say yay baat samjhi na hoo.
Jub insaan kisi say kuch naheen kah pata aur tabar' tor' us pay azeeaton kay pahar toray jatain hain jis ki us ko tawaqqo bhi na ho to mayoos ho jata hai kay is ka koi haal naheen.
Ub aap ka sawal kay yay jantay huway kay khudkushi haram hai aik musalman kaisay karta hai kay dauzakh main jaay ga:
At that time I didn't know that khudkushi haram hai. No one told me. I didn't know that qabr main bhi hisaab ho ga aur dazakh main bhi sari zindagi jalain gay.
Deen say la ilmi hi hum say har ghalat kaam kartain hain ya jub deen jantay hain aur uski ahmiat ko samajhtay naheen ya ahmiat naheen detay to aisa jaan boojh kar kar saktay hain.
Per agar main us waqt janti to shayad main bhi aisa qadam na uthati.
Sub ko mushkilaat say mukti denay ki thani thi main nain apnay hisaab say per wo to sub kay liaay sari zindagi ka roag bun jata hai. Is ka pata mujhay jub chala jub meray bhai nain kaha kay tum agar mar jati to hum ko kitni takleef hoti. Hum kitnay majboor ho jatay kay hamari cheez bhi chali gai aur kuch kar bhi naheen skatay.
Us din us nain wada liaay ainda zindagi main koi mushkil aay yay qadam kabhi naheen uthana.
Isi liaay hamain sub say pehlay deeni taleem hasil karna chahyay kay koi ghalat qadam uthanay say pehlay sochain kay hum jo kar rahain hain sahi hai ya ghalat.