koi apna nahin banta
koi apna nahin banta
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
koi apna nahin banta
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
k .us pay maan karnay say
koi apna nahin banta
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
Muhabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
koi apna nahin banta
kisi tanha Akeli rahguzar par
purane say kisi Burhay shajar par
patthar say koi dil banane say
aur
usmain apna or kisi ka naam sajane say
koi apna nahi banta
k jab Aankhain hi mar jain
to phir sapna nahi banta
yeh jeewan daan kar ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahi banta.