Mana dil dara dara hai
Toota ye zara zara hai
Dil ke is bhavandr ko
Theher jane doo...
Honth ye zara sile hai
Khamoshi ke silsile hai
Raat thodi gehri hai
Sheher aane doo...
To kya hua jo toota
Aaj sapna ye tera,
To kya hua jo aaj
Koi itna na mila.,
Kbhi to pura hoga
Ye chahto ka ghr,
Kbhi to mil hi jayega
Tujhko humsafar.,
Tujhme na kami koi hai
Bs tera ye din bura hai,
Waqt ki baatein hai
Ise gujar jane doo...!
To kya hua jo badla wo
Jo kehta tha yahi,
Badal bhi jaye duniya
Main rahunga bs wahi.,
Magar jaha jarurt thi
Wo raha nahi,
sath ka to chhodo
khayal tk nahi.,