Mataa-e-Gair

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY


mere Khwaabo.n k jharokoo.n ko sajaane waali
tere Khwaabo.n main kahee.n mera guzar hai k nahi
poch kar anii nigaaho.n se bata de mujh ko
meri raato.n ki muqaddar me.n sahar hai k nahi

chaar din ki ye rafaaqat jo rafaaqat bhi nahi
umr bhar k liye aazaar hui jaati hai
zindagi yoon to hameshaa se pareshaan-sii thii
ab to har saans giraa.n_baar hui jaati hai

meri ujri hui neendo.n k shabistaano.n main
tu kisi Khwaab k paikar ki tarah aai hai
kabhi apni si kabhi gair nazar aati hai
kabhi ikhlaas ki morat kabhi harjaai hai

pyaar par bas to nahi hai mera lekin phir bhii
tu bata de k tujhe pyar karoon ya na karoo.n
tu ne Khud apane tabassum se jagaayaa hai ji.nhe.n
un tamannaao.n ka izahaar karoon ya na karoon

tu kisi aur ke daman ki kali hai lekin
meri raatain teri Khushboo se basii rahatee.n hai.n
tu kaheen bhi ho tere phool se aariz ki qasam
teri palakain meri aankho.n pe jhuki rehtii hai.n

tere haatho.n ki haraarat tere saanso.n ki mahak
tairatii rehatii hai ehasaas ki pahanaii main
dhoondhti rehtii hai.n takhayul ki banhe.n tujhko
sard raato.n ki sulagati hoi tanahai main

teraa altaaf-o-karam ek haqiiqat hai magar
ye haqiiqat bhii haqiiqat me.n fasaanaa hii na ho
terii maanos nigaaho.n ka ye mohataat payaam
dil k Khoo.n karane kaa ek aur bahaanaa hii na ho

kaun jaane merii imroz kaa fardaa kyaa hai
qurbate.n barh k pashemaan bhii ho jaatii hai
dil ke daaman se lipat'ti hoi range.n nazare.n
dekhte dekhte anjaan bhii ho jaatii hai

merii daramaa.n da javaani ki tamannaao.n k
muzmahil khvaab ki taabeer bata de mujh ko
tere daaman me.n gulistaa.n bhi hai, viiraane bhi
meraa haasil merii taqdeer bataa de mujhako
 
Top