Ya Rab! Mujhey zindagi guzarnay ka saleeqa sikha day
aakhirat ki tayyari karnay ka tareeqa bata day
har burai say kis tarah bachoon main
naikiyan karnay ka gur bata day
gussay ki farawaani hai bohat mujh par
is say nijaat haasil karnay ka tareeqa bata day
doosron kay main kis tarah kaam aa'oon
mujhey apni izzat karanay kay qabil bana day
teyri ibadat men mashghool rahoon main har waqt
iss baat ka mujh men jazba ubhar day
na jaanay kya kya buraiyyan hen mujh main
ya Rab! mujhey bas tu mu'aaf hi kar day
duniya men izzat, ooncha muqaam ata kar
aur aakhirat men apna deedar nawaaz day