merey sarkash tarane sun k duniya ye samajhti hay

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY

merey sarkash tarane sun k duniya ye samajhti hay
k shaid merey dill ko ishq k naghmoo.n sey nafrat hay
mujhe hangama-e jang-o jadal sey kaif milta hay
meri fitrat ko khoo.n raizi k afsanoo.n sey raghbat hay
meri duniya main kuch wuqqat nahi hay raqs-o naghma ki
mera mehboob naghma shor-e aahang-e baghawat hay
magar aay kaash dekhain wo merii pur sooz raatoo.n ko
main jab taaroo.n pe nazrain gaarh kar aanso bahata hoon
tasawwer ban k bhooli wardaatain yaad aati hain
tu sooz-e dard ki shid'dat sey pehroo.n tilmilata hoon
koi khwaboo.n main khwabeeda umangoo.n ko jagaati hay
tu apni zindagi ko mout k pehlo main pata hoon
main shair hoon mujhe fitrat k nazzaroo.n sey ulfat hay
mera dill dushman-e naghma saraai ho nahi sakta
mujhe insaaniyat ka dard bhi bakhsha hay qudrat nay
mera maqsad faqat shola nawaai ho nahi sakta
jawaa.n hoon main jawani laghzishoo.n ka aik tofaa.n hay
meri baatoo.n main rang-e parsaai ho nahi sakta
merey sarkash taranoo.n ki haqeeqat hay tu itni hay
k jab main dekhta hoon bhook k marey kisanoo ko
ghareeboo.n , muflisoo.n ko, bekasoo.n ko be-saharoo.n ko
sisakti nazninoo.n ko, taraptey nojawanoo.n ko
hakomat k tashad'dut ko, imamat k takabbur ko
kisi ki cheetroo.n ko aur shehen-shahi khazanoo.n ko
tu dill taab-e nishaat-e bazm-e ishrat ho nahi sakta
main chahoo.n bhi tu khwaab awar tarane ga nahi sakta
 

nrbhayo

Newbie
Nov 23, 2009
111,082
9,732
0
nice jee..

---------- Post added at 12:24 AM ---------- Previous post was at 12:23 AM ----------

nice jee..
 
Top