Miti pao ji

  • Work-from-home

dr maqsood hasni

Senior Member
Aug 11, 2008
943
286
1,163
72
kasur, pakistan
aap sab ki baat cheet main, mein madakhlat nahain karna chahata tha.
miti dalo/miti pao mohavra qabarastan k hawala say mustamal howa hai.
goya dafan kar diya ja'ay????????????????????
 

Mahira414

Newbie
Sep 16, 2008
229
30
0
a sweet Pakistan
boht acchy andaaz mai mehv e guftugoo thy aap log parh ker boht taskeen hui dil ko k kisi ne to ab tak urdu ki rivayaat ko zinda rakha hua hy kia mai bhi aap logon ki us khoobsurat guftugu ka hissa banny ki jasarat ker sakti hoon sahi urdu bolne ka shoq to boht hy aaj jaga bhi mil gyi agr kuch kotahi hojaye to umeed karti hoon ap log darguzar farmayen ge
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
btw RR kisko dafan kar rahi hoo ab.....mai tu zinda hoo..kis ko tapka diya ab?{(upset)}
uf ho marain tumhare dushman..tumhain kabhi koch na hio..abhi to tumne bohat koch karna hai..or ab to sana bhabi bhi hain na sath may..so aisi batain mut socho {(danceeee)}
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Miti pao ji,
Bara aam Punjabi mohavrah hai. Yah mohavrah khulli chuti ka sabab ban raha. Jab koe sarkari ehal’kar ghalti karta to hum es liay chup ho jatay hain kah waqt aur paisa zaya karian gay aur natijah sefar rahay ga balkah ulta kisi mosibat ko galay laga lain gay. Agar kahain kuch likhain gay to likhay ki kal ko puryaan ban jaein gi. Net par likha bhi kuch nahain kar pa’ay ga lihaza chup ho jatay hain. Yah rovaeya qatan darust nahain. Ghalti ya kisi kharabi ki nishan’dahi hoti rahay to acha hai. Baat rekard main aa ja’ay gi. Hum apnay hisah ka kidar ada kar dain gay. Tarikh main hamari gowahi par ja’ay gi kah hum nay ghalt ko ghalt hi samjha aur kahsa. Aata kal humain mujramoon ki qitar main khara nahain karay ga. Na bool kar hum ghalt’kar ko sheh datay hain. Mujramoon kay kiay ko darust qarar daitay hain. Woh samjhtay hain kah hum jo kar rahay hain thek hi kar rahay hain aur aur kamzoroon ka etsal karma hamara asoli aur sarkari haq hai.

Bohat zabardast baat kahi aap nain aur aap ki baat say pata chalta hai k aap na sirf bohat hi zabardast soch rakhtay hain balkay aik bohat achchay insaan bhi hon gay jo is doar main bhi aisi batain kar rahain hain jis pay ziadatar loag yahi kahtain hain "mitti pao".


Aik hadees chund din pahlay parha k jis main Muhammad Sallalah o Alaihi Wasaalim nain kaha zalim ki bhi aur mazloom ki bhi madad karo logon nain poocha k mazloom ki madad karna to samajh main ati hai ussay zalim say bacha kar par zalim ki madad kaisay ki jaay to aap Sallalh o Alaihi Wasallim nain kaha k ussay zulm say roak kar.


Ya maloom naheen quran main hai k hadees main k.

Jub kisi ko bura kartay daikho to ussay haath say roko. Haath say naheen rok saktay to zuban say roko aur zuban say naheen rok saktay to dil main bura samjho jo k imaan ka sub say akhri darja hai.

So matti pao kah kar hum imaan k bilkul akhri darjay pa jaatay hain.

aur ghalayband quran ya hadees main hai.

Achchay kaam main kisi ka bhi saath do aur buray kaam main apnay bhai ka bhi saath na do.

Haan hum sub ko apni zimmadari nibhani chahyay. Apna huq aur farz ada kar kay zulm k khilaaf chahay haath utha k, awaz utha k ya qalm utha k ya dil main bura jaan k takay Allah hum say roz e akhirat yay na poochay k tum nain aisa zulm aur buar hotay daikha aur roka naheen.

Per bhai aaj kal is doar main aisay logon ko sub bewaqoof kahtain hain. Kisi zalim k khilaaf aaj kaal kuch karna bohat mushkil hai is liaay k us ka saath denay walay ya us say faida uthanay walay sub us ka saath detain hain aur Suchchai ka to aaj kal apnay sagay bhi saath naheen daitay sub apna faida daikhtain hain so is tarha aap bilkul tanha reh jatay hain aur ulata aap ka hi nuqsaan hota hai aur aap ko hi na sirf apnay sub hi bura kahtain hain.

Zulm ya burai k khilaaf awaz uthanay say saza bhi aajkal hum khud hi paa letain hain khuwah wo gharailoo mamla ho ya sirkarai ya ghar say bahar ka.


Mera khud zati tajarba hai. Is liaay k main khud aisi hoon. Mujhay sub mashwaray detay hain chup raha karo. mut bolo koi gunah kar raha hai ghud gunahgar ho ga. Tumhain bura bunnay ki kia zaroorat.

Kabhi koi kahta hai Sir Syed Ahmed khan bannay ki zaroorat naheen Islah e mashra karain.

Aap ko kia zaroorat hai. Jo koi jo kar raha hai karnay dain. Ussay ki khud pata naheen. ussay ki khud samajh naheen. Wo aap say kia kum aql hai. Waghaira Waghaira.
 
Top