My Sharing For Islamic Contest First Round !!

  • Work-from-home

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
Assalam O Aalikum !!

Islamic Contest k Pehle round k liye Liye Meri sharing Pehli baar khud kuch likha hai kuch Ahadees ki roshni main hope Pasnd ayega sb ko :)






♥ Islam main tamam tar ibadaat ka ta'aluk taharat or pakeezgi or hai, Rooh k tazkiye k saath saath Jisam ki taharat bhi lazim or malzoom hai ♥


●◗ Wazo Ki Fazliyan :

Wazo ki ehmiyat ka andaza is baat se lagay ja sakta hai ky Quran Majeed main is ka waziha Hukam hai or ye wazahat bhi mojob hai k namaz k liye wazo shart hai.

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا قُمْتُمْ إِلَى الصَّلَاةِ فَاغْسِلُوا وُجُوهَكُمْ وَأَيْدِيَكُمْ إِلَى الْمَرَافِقِ وَامْسَحُوا بِرُءُوسِكُمْ وَأَرْجُلَكُمْ إِلَى الْكَعْبَيْنِ

Tarjuma: "Ayy logon jo emaan laye ho jab tum namaz k liye utto to chahiye k apne mun or haath kuhniyun tak dho lo saron par haath pheir lo or paon tahno tak dho liya karo" (Surah 5. Al-Maida, Ayah 6)


1: Nabi Kareem Salallaho Alaihe Wasallam ne farmaya ! "Qayamat k roz apni ummat k logon ko pehchan longa" Sahaba Karaam R.A ne pocha Ya Rasool ALLAH Salallaho Alaihe Wasallam kesy ? Farmaya " Aik pehchan ye hogi k wazo ki wajah se meri ummat k chehry or haath jagmaga rahy hongy" (Muslim)


2: Wazo karne se choty choty gunah dhul jaty hain or wazo karne wala Ahirat main buland darajaat se nawaza jata hai or wazo se sary badan k gunah jharr jaty hain (Buhari o Muslim)


3: Wazo k baghair namaz qabool nahi ki jati. (Muslim)


●◗ Wazo Ka Masnoon Tareeka:

Wazo shuru krty huay bismillah parhna chahiye kyun k jo wazo se pehle bismillah na parhy us ka wazo nahi hota.
Hazrat Hamdaan R.A se rawayat hai k hazrat Usman R.A ne wazo k liye pani mangwaya.


1: Pehle Apni Hatheliyan Theen martaba dhoyen.

2: Phir khuli ki or naak main pani dala.
3: Phir apna moun theen dafa dhoya.
4: Is k baad apna dayan haath kauhni tak theen martaba dhoya.
5: Isi tarah bayan haath kauhni tak theen martaba.
6: Phir sar ka masah kiya.
7: Masah k baad apna dayan paon takhny tak theen martaba dhoya.
8: Isi Tarha apna bayan paon takhny tak theen baar dhoya.


Phir farmaya main ne Rasool ALLAH Salallaho Alaihe Wasallam ko isi tarha Wazo karty dekha tha (Muslim)


●◗ Ahkamat-e-Wazo:

1: Mazi, najasat (Peshaab,Pahana,Lekoriya) waghera harij hony se wazo toot jata hai.

2: Kaprey ki aarr k baghir sharam gaah ko haath lagaya jaye to wazu toot jata hai.
3: Gehri neend saony se wazo toot jata hai Jb k taik lagye baghair neend ya oong aa jaye to wazo nahi toot'ta..


♥ Gusal Ki Fazeelat Quran or Hadees Ki Roshni Main ♥


●◗ Ghusal Ka Masnoon Tareeka:

Um Ul Momineen Hazrat Ayesha R.A se rawayat hai k Jab Rasool ALLAH Salallaho Alaihe Wasallam Ghusal janabat farmaty to

1: Pehle apne dono hathon ko dhoty.
2: Phir dayen haath se bayen par pani dal k sharam gaah ko dhoty.
3: Phir namaz ki tarha wazo kerty.
4: Is k baad hathon ki ungliyun se sar k baalon ki jarron ko pani se tar krtey.
5: Ahir main aik dafa phir dono paon dhoty. (Bukhari o Muslim)

●◗ Ghusal Farz Hony Ki Soortain:

Jamaa, Ahtelam, Haiz or Nafaas k baad Ghusal karna farz hai. (Bukhari)

●◗ Ahkamat-e-Ghusal:

1: Doraan Ghusal Kalma e shahadat ya emaan ki safaat parhna sunnat se sabit nahi.

2: Ghusal janabat main pani sar k baalon ki jarron tak pohonchna chahiye.
3: Istehaaza ki mareeza ko hasb e haiz k ayaam shumaar kr k ghusal ker lena chahiye.
4: Ghusal kerty waqat pani k istemal main Ahteyaat karni chahiye.

●◗ Tayamam Ka Masnoon Tareeka:

1: Pani na Milney ki sorat main ya aisi beemari jis main pani k istemal kerny se beemari barr jany ka andesha ho is main tayamam kiya ja sakta hai (Bukhari)
2: Hazoor Salallaho Alaihe Wasallam ne dono hath aik martaba zameen par pheirry or dayen haath ko bayen hath par mara (Matti jhaarny k liye) Is k baad Aap (S.A.W.W) ne hatheliyun ki pusht or mun par masah kiya. (Bukhari o Muslim)
3: Wazo or Ghusal dono k liye tayamamhi kaafi hai (Bukhari)
4: Ghusal janabat k liye pani muyasar na ho to Ghusal ki niyat se kiya hua tayamam hi kaafi hai.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: saviou

Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
WS...
Bht khushi hoe yaar k khud sey ye saara work kia hey.... MASHA'ALLAAH...
Appreciative work!
@Fanii
 
  • Like
Reactions: Fanii

Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
thnk u broo ... but abhi b muje lagta garbar na ho gai ho kahin kyun k islamic topic boht sensitive hoty hain :s
hmm pareshan na hu.. saviou bro islaahi thread b lagaengey... is sey Insha'ALLAAh behtareen islah hojaeygi
 
  • Like
Reactions: Fanii
Top