~ quran father of sciences part 1 ~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0



Assalam o alaikum dosto :)

Mera aajka mauzu(topic) hai taqleeq e kaayenaat aur zameen o aasman ki asal haqeeqat.aur isi par main chund aham baatein pesh karne ki meri bisaat bhar koshish karunga inshaAllah Allah isse qabool farmaye aameen.

doston jadeed ilm e kaayenaat chahe wo mushahedaati ho ya nazaryaati waazeh taur par hame ye batlaate hain k ek waqt tha jab ye kaayenaat poori dhuwen ka badal thin.yaani ye dekhne me ghair wazeh aur bahot si gases ka majmua thi.aur isi tarha aaj k maujooda daur me scientist dhuwen se wajood me aane wale sitaron ka mushaheda karsakte hain wo roshan sitare jo hame raat ko nazar aate hain.aur science ka ye manna hai k wo bhi ibteda me poori kaayenat(universe) ki tarha dhuwan dhuwan thei.aur is baat ko badey wazeh andaz me Allah taala yun bayan farma raha hai k

ثـم السـتوى الى السـماء وهي دخـان
phir wo (Allah) aasman ki taraf mutawajjah hua aur wo (aasman) dhuwan dhuwan tha.(haa meem sajda.41)

subhanAllah kitne wazeh andaz me yahan baat ko samjhaya gaya hai k ek aam aadmi bhi isko aasani se samajh sakta hai.aur hum science k is nazarye se bakhubi waqif hain k zameen o aasman aur dosri ajraam e falkiat sub ek dosre se baahum mile hue thei.baad me isme ek zor ka dhamaka hua aur ye sub alag alag hogaye.


aur is baat ko k ye sab baahum mile hue dhuwen ki shakal me thei.is baat ko Allah taala yun bayan farma raha hai k.

اولـم يـرالذين كفـرو ان السـموات والارض كانتـا رتقـا ففتقـنهما
kia kaafir logon ne nahi dekha k aasman aur zameen baahum mile hue thei fir hum ne inhe juda juda kardia.( al anbiya - 21 )

subhanAllah yahan zahiri taur pr kaafiron se qitab kia jaaraha hai laikin ye baat hamare liye bhi qaabil e ghaur hai aur aisi aayaton par hum musalmanon ko bhi ghaur o fikr karna chahiye.

dr Alfred cronze dunya k famouse maahir e arziaat hain.wo johan's gutanburgh university me jermany k ek section arazi science k chairmen aur professor arziat hain.inho ne ek lecture me kaha.
"
mohammed(pbuh) jis muashare se taaluq rakhte thei isse zahan me rakhte hue main samajhta hon k ye taqreeban na mumkin hai k wo kaayenaat ki mushtarka ibteda jaisi baton k baare me kuch jante hon.kyunke science ko iska ilm chund hi arse pahle hua k ibteda me kaayenaat ki haqeeqi surat e haal kia thi....main samjahta hon k ek aise insan jo 1400 yrs pahle nuclear physics k baare me kuch nahi jante thei is position me nahi thei k wo apne zahan se ye maloom karsake k zameen o aasman ki asal ek hi hai."

aur hamar ye manna hai k ye kalam Allah k zarye mohammed(pbuh) par wahi k zarye utara gaya hai taake log isse naseehat pakren aur isme ghaur o fikr karen.
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Walaikum Salam Wrwb!
buhut acha silsila shoro kiya hain aapne Quran and science k mutalik informations share kerne ki, aur es mei koi shuk O shuba nahin k Hazrat Mohammad (SAW) yeh sub 1400 saal pahle jaante the Allah k Kalam (Quran) k zerye...jesse science ne ab estimate kiye..thanks for the info
Allah aapko Jazaye khair de (Aameen) so keep up it..
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
jazakAllah..
Allah ne Quran me jo farmaya woh haq aur sachi hai..
boht achi sharing..mazeed b share karte rahen..
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
jazakAllah arshad bhai...
beshak quran to koli hidayat hay pore kainat k lie...

or donia may jo b kuch horaha hay,ya honay wala hay,sab he kuch quran may wazeh mojood hay...

even quran ko parh k he aj hum donia jahan k posheeda khazanay taskheer kiye howay hay...
 

Qalandar

Active Member
Aug 8, 2011
323
477
63
37


جزاکم اللہ خیرا واحسن الجزاء
پڑھ کر خوشی ہوئی اچھی پوسٹ بنائی ہے،
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Jazakallah ...Qasim Bhai , bht khubsurat thread , Quran majeed men Esi liye bar bar Es baat par zoor dia gia hai k Qainat par Ghor karO , Es men Ghor karne waloon k liye khuli nishaniaan hain , thanks for sharing {(thx)}
 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
walikum salam
:)
masha'Allah bro bht hi achy andaz mai likha hai app na
:)
jazakAllah bakhair​
 

Raat ki Rani

Super Star
May 26, 2011
9,376
1,452
413
Walaikum salam
Mashallah very nice sharing.....
hum sub ko apni deen per fakhir hona chahiye jo baate aaj ka science kahta hain yaihi baatain 1400 yrs pahle quran me zikar howa ta ALLHAMDULILLAH ....
Thanks for sharing...:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
walekum salam...:)

Jazak Allah Khair arshad bhai...bohat hi umdah sharing ki hai aapne...bohat hi informative...thx for sharing & keep sharing plzzz...:)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
bohot hi umdah aur mufeed sharing hai janab
ye silsile ko jaari rakhiye
Allah apko jazaye khair de Aameen
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Well thanks dude. i want to ask a question that why not you people share in English. English is universal many people want to read this but as it is written neither in english nor in urdu that why it can't be translated with any software too. Kindly use one better language for every one help and easiness.
aapne bilkul sahih kaha k ye english me bhi raha to behter rahega inshaAllah next time i will try to post in eng language also.thnks for remind.jazakAllah khair
 
Top