~ Quran Father Of Sciences Part 2 ~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0




Assalam o alikum dosto

Dosto mera aajka mauzu hai "do aurton ki gawahi ek hairan kun daryaft" aur isi par main dalayel ki roshni me Quran ki haqqaniyat ko pesh karne ki har mumkin koshish karunga.inshaAllah.

Allah taala irshad farma raha hai

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا تَدَايَنتُم بِدَيْنٍ إِلَىٰ أَجَلٍ مُّسَمًّى فَاكْتُبُوهُ ۚ وَلْيَكْتُب بَّيْنَكُمْ كَاتِبٌ بِالْعَدْلِ ۚ وَلَا يَأْبَ كَاتِبٌ أَن يَكْتُبَ كَمَا عَلَّمَهُ اللَّـهُ ۚ فَلْيَكْتُبْ وَلْيُمْلِلِ الَّذِي عَلَيْهِ الْحَقُّ وَلْيَتَّقِ اللَّـهَ رَبَّهُ وَلَا يَبْخَسْ مِنْهُ شَيْئًا ۚ فَإِن كَانَ الَّذِي عَلَيْهِ الْحَقُّ سَفِيهًا أَوْ ضَعِيفًا أَوْ لَا يَسْتَطِيعُ أَن يُمِلَّ هُوَ فَلْيُمْلِلْ وَلِيُّهُ بِالْعَدْلِ ۚ وَاسْتَشْهِدُوا شَهِيدَيْنِ مِن رِّجَالِكُمْ ۖ فَإِن لَّمْ يَكُونَا رَجُلَيْنِ فَرَجُلٌ وَامْرَأَتَانِ مِمَّن تَرْضَوْنَ مِنَ الشُّهَدَاءِ أَن تَضِلَّ إِحْدَاهُمَا فَتُذَكِّرَ إِحْدَاهُمَا الْأُخْرَىٰ ۚ وَلَا يَأْبَ الشُّهَدَاءُ إِذَا مَا دُعُوا ۚ وَلَا تَسْأَمُوا أَن تَكْتُبُوهُ صَغِيرًا أَوْ كَبِيرًا إِلَىٰ أَجَلِهِ ۚ ذَٰلِكُمْ أَقْسَطُ عِندَ اللَّـهِ وَأَقْوَمُ لِلشَّهَادَةِ وَأَدْنَىٰ أَلَّا تَرْتَابُوا ۖ إِلَّا أَن تَكُونَ تِجَارَةً حَاضِرَةً تُدِيرُونَهَا بَيْنَكُمْ فَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَلَّا تَكْتُبُوهَا ۗ وَأَشْهِدُوا إِذَا تَبَايَعْتُمْ ۚ وَلَا يُضَارَّ كَاتِبٌ وَلَا شَهِيدٌ ۚ وَإِن تَفْعَلُوا فَإِنَّهُ فُسُوقٌ بِكُمْ ۗ وَاتَّقُوا اللَّـهَ ۖ وَيُعَلِّمُكُمُ اللَّـهُ ۗ وَاللَّـهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ ﴿٢٨٢


" aye iman walo!jab tum aapus me ek muqarrara muddat keliye udhaar ka len den karo to isse likhlo ..............aur tum apne musalman mardon me se 2 gawah(witness) banalo fir agar 2 murd(man) na hon to ek murd aur 2 aurtein(ladies) jinhe tum gawahon k taur par pasand karo taake ek aurat agar bhool jaaye to unme se dosri usse yaad dilaade.(al baqara - 282)

quran ki is aayath me hame ye baat batlaayi jaa rahi hai k ek murd(male) ki gawahi 2 aurton(female) k barabar hai.aur is aayath se ye natija nikaalna bilkul theek nahi k islam in do jins me furq karta hai.balke hamey is baat ka andaza jadeed science se chalta hai.aajke is moujooda zamane me insani dimaagh(brain) par bahot ziada tahqeeq ki gayi hai aur naye naye haqayeq daryaaft kiye gaye hain.american scientist ki ek team ki servey report parhne ka mouqa mila.ye Indiana University School of Medicine ki Press release hai.

is scanning ki jadeed technic(
FMRI) istemal ki gayi thi.iska maqsad ye janna tha k jab insan ko ye bataya jaaye ya ye parhkar sunaya jaaye to iske dimaagh me kis qism ki aasaabi harkat hoti hai.is research k zarye ye maloom hua k murd apne dimaagh k sirf ek jaanib se sunte hain.jabke aurtein apne dimaagh ki dono jaanib se sunti hain.is research me 10 murdon ko aur 10 aurton par tajrubaat kiye gaye.is research me ye hairan kun inkeshaaf hua k murd aur aurat k dimaagh eksaan nahi hote.

ye research batati hai k aurat aur murd k is dimaaghi furq ki bina par dono k dekhne aur sunne me furq hai.murd apni dimaaghi banawat ki bina par aasani se ksi ek cheez par apni tawajju focus karsakta hai.iske muqaable me aurat apne dimaagh ki banawat ki bina aisa nahi karsakti.aur iska focus phail jaata hai.aur wo ek waqt me wo mukhtalif cheezon ko dekhti aur sunti hain.aur ye dono k dimaagh ka taqleeqi furq behadd aham hai.

is research se is baat ka jawab milta hai k Islam me aurat aur murd ki gawahi ka furq kyun rakha gaya hai.is furq ka sabab ye hai k murd ka dimaagh
unifocal mind hai jabke aurat ka dimaagh multifocal mind hai.aur yeh wo haqeeqat hai jisko Quran ne 1400 Yrs pahle kahchuka.aur ye us hasti ka kalaam hai jo insan ki rug rug se bakhuubi waqif hai.subhanAllah.

 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Awesome research .....

thanks for sharing Qasim bhai ....

no doubt Bht se razOn se parda ab uth raha hai jinka inkeshaf Quran-e-majed ne1400 Saal pehle kar dia ...
 

mirza37

Hot Shot
Jul 17, 2010
15,341
7,043
913
49
UAE ABU DHABI
Jzakallah khair arshed bhai ,,bas ham log as ko perain or ghoor kerian to pata chaly ga,, jo bhoit hi kam log kerty hain ,, allah quran ko perhny or samjhny ki tufeeq dey aamin,
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalam u alaikum wrwb.
jazakAllah ..

boht umdah sharing hai..

mazeed b isi tarha share karte rahen..
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
islam ek kaamil deen hai aur uska har ek hukm hikmat par mabni hai
aur ye sabit bhi ho raha hai
waise to har sahib e imaan ispar yaqeen rakhta hai ke Quran Allah ka kalaam hai lekin jo kaafir hain jo islam ko nahi maante unke liye Allah ne ye hujjat qayam kardi hai science ke zariye jisko wo mante hain
jazakallah khair janab
 

Habeel

Active Member
Nov 28, 2010
272
132
943
jazak Allah Asahd bhai hasbay rawait ap nay ya bhe thaird bohat kamal ki banai

hamin bohat acha laga ap nay bohat achay andaz main sabit kya jazak Allah

bhai agar sach pochain tu ham ap ki is tarha ki tharaid ka bohat bechaine say intzar kartay han jazak Allah bhai

bohat shukria Arsahd bhai Allah ap k ilam ur amal main izafa farmay ameen
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
jazak Allah Asahd bhai hasbay rawait ap nay ya bhe thaird bohat kamal ki banai

hamin bohat acha laga ap nay bohat achay andaz main sabit kya jazak Allah

bhai agar sach pochain tu ham ap ki is tarha ki tharaid ka bohat bechaine say intzar kartay han jazak Allah bhai

bohat shukria Arsahd bhai Allah ap k ilam ur amal main izafa farmay ameen
Allahi baarik fee mohtaram bus Allah se dua karen k Allah mere ilm o amal me izafa farmaye aameen.aur aapka bahot bahot shukriya aapne isse read kia.aur pasand kia.continue aate rahen aap jise mem.ki hame bahot zaroorat hai.
 
Top