بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0
Assalam o alaikum dosto
dosto jaisa k aap jante hain k aaj k daur e jadeed me science ka kahna hai k zameen.aahista aahista choti(small) hoti jarahi hai.famouse astronomer sir james jeans (1877-1946) ka qayal hai k starting me ek bahot bada sitara suraj k qareeb se guzra iski quwwat e kashish se suraj ka ek tukda cut kar dur hawa me ghoomne laga aur yahi zameen kahlaya.shru me zameen ka darja e hararat wahi tha jo aaj suraj ka hai.laikin rafta rafta zameen thandi hoti gayi.aur abtak bhi ye amal jaari hai.
jab ye garam(heat) thi to iska area ziada tha.laikin jaisa jaisa ye thandi hoti gayi waise waise iske area me furq aata gaya.aur ye amal abhi bhi jaari hai.aur is baat par saare scientist ka ettefaaq hai.laikin ye kitni hairat ki baat hai k aajse 1400 yrs pahle logon k zahnon me ye baat aana namumkin si baat hai.laikin quran e majeed me Allah taala irshaad farma raha hai.
أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّا نَأْتِي الْأَرْضَ نَنقُصُهَا مِنْ أَطْرَافِهَا ۚ وَاللَّـهُ يَحْكُمُ لَا مُعَقِّبَ لِحُكْمِهِ ۚ وَهُوَ سَرِيعُ الْحِسَابِ ﴿٤١﴾
kia wo nahi dekhte k hum zameen ko uske kinaron se ghatate chale aarahe hain.Allah hukum karta hai koi iske ahkaam peeche daalne wala nahi wo juld hisab lene wala hai.(al-raad.41)
sawal ye paida hota hai k ye jo maloomat ab science ko hui hai.quran e majeed me kis tarha bayan hue? wo kaun hai jo hazrat mohammed(pbuh) ko ye baatein batadi.jab k us waqt nahi aisi machines/tools thei aur nahi aisi logon me samajh thi k aisi baatein kare ya likhe.balke ye kalaam us Allah ki taraf se nazil kia hua hai jo dunya k bhedon se bakhubi waqif hai.Allah taala irshaad farmata hai.
قُلْ أَنزَلَهُ الَّذِي يَعْلَمُ السِّرَّ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ إِنَّهُ كَانَ غَفُورًا رَّحِيمًا
aap kahdijiye k isse to Allah ne utara hai.jo aasman o zameen ki tamam poshida baton ko jaanta hai.beshak wo bada hi bakhashne wala meherbaan hai.(al-furqan.06)
aap kahdijiye k isse to Allah ne utara hai.jo aasman o zameen ki tamam poshida baton ko jaanta hai.beshak wo bada hi bakhashne wala meherbaan hai.(al-furqan.06)
isse is baat ka saboot milta hai k ye kalaam Allah ki taraf se hum logon ki hidayat keliye wahi k zarye nabi(pbuh) par utara gaya hai.Allah hame quran ko samajhkar parhne ki taufeeq ata farma aameen.