Sirat-e-Mustaqeem ka matlab hai seedha rasta ...wo rasta jo ALLAH k Pak Nabi kareem
Ihdina s-siraata l-mustaqeem, Siraata l-ladheena anamta alaihim ghair al-maghdhoobi alaihim wa la dhaaleen
(al-Fatihah: 5) Iss ayat me Dua hai...jo hum ALLAH Rab-ul-izzat se mangty hain....key Ay ALLAH humien Seedha rasta dekha .. aur humien sedhy rasty per chala... takey hum tere nazdeek aasaky...iss ka matlab ye b ho sakta hai k hum ALLAH se mangty hain k ALLAH humien App
Rasta kiya hai????
ye ek road hai jiss per humien safar kerna hai...woh rasta jo humien ek taraf se dusri taraf lay jayega.... ab srif yehi nhi k humien iss rasty per chalty rehna hai .balkey humien woh naik kaam kerne hai jo ALLAH ki taraf lay ayien...aur un kamun se dur rehna hai jo humien ALLAH se dur ker dien....misal k tor per.... ek darakh hai.... jo zameen se mazbooti se laga humwa hai...jab bht taiz hawa chalti hai to wo bhi ussy apni jagah se nhi hilla pata... jabky dusre tabah ho jaty hain...ussi tarah insaan ko b naiki k rasty per darakh ki tarah daty rehna hai.... chahy jitni b andhiyan (burayan) chaly.... Aj hamari dunya me ..jab hamare imtihan hoty hai..hum kitni fikr kerty hai....din raat kitni pardhayi kerty hain??? kiya paper me ayega kuch pata nhi hota...saari ki saari kitabien rat lety hain... aur hamari deen me dekho... Aqkhrat k imtehan k lye ....SubhaALLAH...ALLAH rab-ul-izzat ne sara ka sara paper de diya hai humien....
bas isko hal kerna hai.... Apne mehboob ko hamare pas bhejh diya hai humien seekhane ne k liye ....
Ek behtareen misal uss admi ki jo hamesha Sirat-ul-mustaqeem per daty rahy hain wo Hamare Nabi kareem
Ala sitat-ul-mustaqeem (surah yaseen :4)
beshak tum (nabi kareem
srif yakeen kerna hi nhi balky amal bhi kerna hai un batun per jis per hum yakeen bhi kerty hain... aur apne amalun per daty rahien..jese 5 waqt ki namaz ... ye sirat-ul-mustaqeem hai jis ki hum me bht kami hai... inhi panch waqt ki namazun me hum pardhty hai .. pehly hum pardhty hain Iyaka Na'budu wa iyaka Nasta'een aur phir Ihdina alssirata al-mustaqeem ....
srif ek rab-ul-izzat ki zaat hai jo humien seedha rasta dekha sakti hai... ALLAH swt ki Ibadat kerna hamari zindagi ka maqsaad hai ...agar hum hamari zindagi ALLAH swt ki ibadat me waqaf ker dienty hain to hum Sirat Al-Mustaqeem per hai.... ALLAH ne do rasty dekhaye hain..ek siratul mustaqqem aur dusra siratuk jaheem... sirat-ul-mustaqeem wo rasta jo humien jannat ki taraf le jayega..aur dussra rasta siratul jaheem jo humien jehannum ki taraf le jayega...ASTAGFIRULLAH... aj hum kis rasty per hain??? hum kitni app SAW ki sunnatun ko sath leker chal rahy rhy hain??? kiya maqsaad hai hamari zindagi ka???
Allah Rub Ul Izzet sura al-inaam main farmatay hain ke ,'' aur yeh mera seedha rasta hai, tum issi per chalna, aur un raston per na chalna keh ( jin per chal kar tum) Allah kay rastay say alag ho jao ge. in baton ka Allah tumhain hukem deta hai takay tum perhaizgar bun jao.
Sirat-e-mustaqeem asaan alfaaz main seedha rasta hai, is ki behtareen tashreeh Allah kay nabi Kareem
Hazrat Nwaas bin sam-aan ® say marwi hai ke Nabi Kareem
yeh seedha rasta Islam ka hai aur deewarain hudood Allah hain, khulay darwazay ,Muharam Allah , hain aur yeh rastay per baithnay wali cheeze Kitab Allah hai Quraan majeed.
darwazay kay ooper baitha shaks insan ka apna zameer hai, jo buray kamon say is kay dil main khalish paida karta hai, goya ke Allah ka waiz hai.
Rasool AllahKareem