Suna Hai Log "Ussey" Aankh bhur ke dekhtey hain So "Uss" ke Sheher mein kuch din theh

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
34
Suna Hai Log "Ussey" Aankh bhur ke dekhtey hain
So "Uss" ke Sheher mein kuch din theher ke dekhtey hain


Suna hai boley tou baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai tou chalo baat kar ke dekhtey hain


Suna hai Raat ko ussey Titliyaan sataati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain


Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain


Rukey tou gardishein uss ka tawaaf karti hain
chaley tou uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain


Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhey
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain


kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar "woh" khawaab hai , "Taabeer" kar ke dekhtey hain


Judaaiyaan tou muqadder hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain


"Toou" saamney hai tou phir kiyon yaqeen nahin aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain


yeh kaun loug hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhey ....Mujh ko jal ke dekhtey hain


Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain


Buhut dinon se nahin hai kuch "Uss" ki khair khabar
chalo zamane walo, Aey Yaar chal ke dekhtey hain
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top