~*Tu Samandar Hay*~ Pak Old‏

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Main tere sang kaise chalon sajna
Tu samandar hay main sahilon ki hawa

Tu mera hath hathoon main le k chale
Mehrbani teri
Teri ahat se dil ka daricha khule
Main diwani teri
Tu gubayesafal main khizaan ki sada
Tu samandar hay main sahilon ki hawa

Tu baharoon ki khushbo bhari shaam hay
Main sitara tera
Tu zindagi ki zamanat tera naam hay
Tu sahara mera
Main ne sari KHUDAYI main tuj ko chuna
Tu samandar hay main sahilon ki hawa

Tu chala to sitare bhi chalne lage aansuon ki tara
Khaab pe khaab aankhon main jalne lage aarzu ki tara
Teri manzil bane mera har raasta
Tu samandar hay main sahilon ki hawa

Pak Old​
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top