ose yaad kar ke na dil dukha, jo guzar gaya wo guzar gaya
kahan laut kar koi aye ga, jo guzar gaya wo guzar gaya
nayii subh hai naii sham hai naya shahar hai naya naam hai
woh chala gaya ose bhool jaa, jo guzar gaya wo guzar gaya
koii aye ga koii jaye ga koii jaye ga koii aye ga
suno raston ki sada suno, jo guzar gaya wo guzar gaya
tere pass tera habib hai, jo nahen mila wo naseeb hai
koii phool kehta hai muskura, jo guzar gaya wo guzar gaya
mujhe patt charon ki kahaniyan na suna suna ke udas kar
naye mosamon ka pata bata, jo guzar gaya wo guzar gaya
yahan aitibar o yaqeen hai ye haqeeqaton ki zameen hai
zara dair ka koii khwab tha, jo guzar gaya wo guzar gaya