aataa hai yaad mujhko guzraa huaa zamaanaa
vo baaG kii bahaaren vo sab ka chah-chahaanaa
aazaadiyaaN kahaaN vo ab apne ghoNsale kii
apanii Khushii se aanaa apanii Khushii se jaanaa
lagtii ho choT dil par, aataa hai yaad jis dam
shabnam ke aaNsuuon par kaliyon kaa muskuraanaa
vo pyaarii pyaarii surat, vo kaamiinii sii muurat
aabaad jis ke dam se thaa meraa aashiyaanaa