Talk Shalk With Anadil -shehr-e-tanhayi & Sikandar1111

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
chalo bhae @shehr-e-tanhayi @sikander1111 hmare kuch sawalaat jo hum kisi zmane may chand khaas zoq-o-shoq aur his-e-mazah rkhne waale logo se poocha krte they,,baari baari aap se poochain gey,,to pehla sessions ye rha :p

Main kuch songs ki pehli pehli line dungi AAPko ye btana hay k apaki life Kis kis moqey pe wo Line suit karti hay :p

1.SAada HAq Aithey rakh.... ;))

2.Moujan hi Moujan shaam sawere hun mojan hi mojan :p

3.Manzilain apni jaga hain raaste apni jaga...... {(cofee)}
4.AAj main ooper aasman neeche aaj main aagey zmana hay peeche.....{(girlangel)}

5.Ab koi khush ho ya ho khafa hum nhi badlain gaye apni ada hum to bhae jaise hain waise rhain gaye......:rolleyes:

6.Shikwa nhi kisi se kisi se gila nhi naseeb may nhi tha jo humko mila nhi.....{}{ii8


Kuch aur questions:
1.aap se koi poochey k aap kon ho to Aap apne naam k ilawa kia btayain gaye?

2.Kisi stranger se pehli baar baat ho to Naam poochne k baad kia poochain gaye?

3.Kisi se pehli mulaqat may Konsi baat/cheez notice karte hain?

4.TM k 5 favorite male members and 5 favorite female members k naam aur un k liye 3 lines Likhain!

GUD Luck:-bd
baqi baad may {(popcorn)}
 
Last edited:
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
chalen rehne deten hain in sab baton ko kuch ache sawal karte hain
mohtarma badi mushkil se mili hain /:)
Mili kahan... Abhi to hath aayi hoN =))

sawal aisay to na hoN gay naa...

aaj us ne ajeeb sawaal kiya !!!!!
mujh pe martay ho to zinda kyun ho?

/:)

=))
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Mili kahan... Abhi to hath aayi hoN =))

sawal aisay to na hoN gay naa...

aaj us ne ajeeb sawaal kiya !!!!!
mujh pe martay ho to zinda kyun ho?

/:)

=))
ab hath aayi hain ya baqaul @Hoorain ke ount pahad k niche aya hai ( ab isme kuan kya hai aap dono hi behtar abta sakte :) hame kuch nahi pata :|


jee nahi sawal bas sawal k jaise hi honge in sha Allah :)
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
bade kab se choton ko follow karne lage? /:)


@shehr-e-tanhayi
mohtarma ye batayen k aap TM kaise join kiye matlab kya wajha thi jo apko yahan le ayi?
aur yahan aane k baad apka pehle impression kya tha?
ab tak apne kya seekha aur kya rai rakhti hain aap TM k bare me aur yahan k members k bare me?
apni khidmat e khalq k bare me ham sab ko batayen taake dusre bhi ibrat len aur mustaqbil me kuch kar saken :)
Jee @saviou Mohtram woh 20 July 2015 ka aik udaas sa din tha.... jis din bhi humara kuch karne ko dil na chahay usay hum udaas din ka naam diya kartay hain. humein aik image search karna tha. Tafrehmella ka naam aaya samnay Google search mein.... samnay front page par likha message acha laga... bina aik minutte ki dair k forum join kar liya. humein apni yehi baat achi lagti hai k jo karna hai, usi waqat karna hai, sochne mein zyada time nahi lagatay aisi baatoN ko. aur ab Allah k laakh laakh shukar guzar hain k hum ne jo fouri faisla kiya forum join karne ka... us ne humein bahot se achay logoN ki mehfil ka hissa bnaya. Khud ko bhi is baat par shabash detay hain k acha faisla tha.

yahan aanay k baad ka impression to mat hi poochiay... yoon lag raha tha k jaisay kisi melay mein koyi bacha kho gaya ho..... koyi rasta milta hi na thaa... waisay bhi hum idhar udhar dekhay baghair naak ki seedh mein chalnay k aadi hain... to bas samnay jo thread nazar aata tha... usi mein ghus jatay... bas yoonhi ghustay ghusatay aakhirkaar forum se thori jaan pehchaan huyi. sara forum abhi tak hum nahi ghoom paaey... idhar udhar hi itna time lag jata hai.
Forum ka impression to acha tha is tarah se..... lakin hum kuch members se thoray dar gay thay... darna matlab thori jhijhak keh lijiay k samjh nahi aa rahi thi k kaise baat kareN.. asal mein yeh humen kuch time baad pata chala k DP k neeche male/ female sab likha hota hai. bahot funny raha yeh sab.

Members k baaray humari raaey bahot achi hai... sab apnay apnay rang mein achay hain. PardesiyoN ko to jahan bhi apnay hum zubaan mil jaayen, woh jaga hi un k liay ghar jaisi ho jaati hai. aur wahan k rehne waalay ghar waloN jaisay eham ho jatay hain.
Seekhne Sikhanay Ki baat kar rahay haiN to.... Iss Baray Sirf Itna Keh Saktay HaiN K @saviou @Shiraz-Khan @Ally @Hoorain @STAR24 ne humaray zehan pe lagay zang ko jaise utaara... kaafi time se kuch likhna, kuch kehna bhool gay thay baaqi kaamoN mein lag kar... lakin ab phir se apnay asli roop mein aa gay haiN.... hathoN k sath sath zuban aur qalam chalanay walay roop mein.
is k liay hum aap sab k aur TM k shukarguzar hain.

KHidmat E Khalaq KA Qissa Kuch YooN Hai K HUm Nay Apni Family MeiN Apnay BUzurgoN Ko Is Tarah Se Dekha Hai K Woh Tanha Nahi Hotay. Har Shaam Sari Family Un K Gird Betha Karti Hai. Bahot BaateN Hoti HaiN. Gharzkay UnheiN Yeh Ehsaas Kabhi Nahi Hota K Ab Hum BooRhay Ho Gay HaiN Aur Akelay HaiN. YahaN Part Time Job K Doraan Humara Wasta Aik Old Home Se Para . Tab December Ka Mahina Tha. Chritsmas Ki Tiyari Chal Rahi Thi... Aisay MeiN Aik Old Lady Se Mulaqaat Huyi. Woh 92 Saal Ki Thi shayed ya phir zyada.... baaton k doraan us ne btaya k us ki family mein sirf wohi reh gayi hai, bachay b nahi thay us k ... humaray dil mein humdardi jagi, hum aksar us k paas janay lagay... phir aahista aahista kar k aisay kayi log... kuch b help chahiay hoti, hum hazir, jaisay dr paas jana , koyi market ka kaam.... aur ab taqreeban 2 saal se hum ne week k 3 din aik activity center k naam kar diay hain jahan bahot saray old people atay hain, kuch aisay hain jaise k apnay din gin rahay hain. unka aakhri time acha guzarnay k liay hum un k sath mil kar kuch creative work kartay hain , rangoN se aashnayi karwatay hain aur jitni khushi de sakeN , detay hain.jin ko kisi saamiya ki zarorat ho, yeh farz b ba-khoobi nibhatay hain. Yeh sab razakarana tor par hai is liay humeiN ab aik aur activity center mein bhi aisi hi help karni hai. tafseel kafi lambi hai lakin humara reply pehle hi shaitaan ki aant ho gaya hai.
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
jee jee aap jo samajh rahe hain wohi :p



matlab aap maanti hain ke aap hain :p



tauba tauba :p
haan jee maanti hain k hum hain.... lakin sirf chehre ki hadh tak....
aur kal bhi humein yeh sun0nsy ko mila is liay aaj aap ya Hoorain siso se zyada behas b nahi ki
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
ab hath aayi hain ya baqaul @Hoorain ke ount pahad k niche aya hai ( ab isme kuan kya hai aap dono hi behtar abta sakte :) hame kuch nahi pata :|


jee nahi sawal bas sawal k jaise hi honge in sha Allah :)
jee jee zaroor kijiay sawal....
balkay sawal dar sawal kijiay lakin kisi kharay kharay javab ka bura mat manaiay ga :)
 
  • Like
Reactions: saviou

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
hamara Pehla Sawal Uperr ki list k ilawa :p
  1. Aap ko TM pe sabse acha aur sabse bura kia lgta ?
  2. TM pe ab tak kitne type k logon se paala par chuka hy ? ;))
  3. yahan pe apka koi Aik behad ab tak favrt thread ?
  4. Ur Favrt. One Member here ?
  5. Current nick ki bajae koi nick rakhna hota to konse rakhte :-?
@shehr-e-tanhayi @sikander1111
1. TM pe humein sab se acha apna online aana lagta hai... aur sab se bura off line jana....
agar yahan moujood rehne k havalay se pooch rahi hain to aap ko apna sawal kuch is tarah karna chahiay thaa
k AP KO TM PE AA K SAB SE ACHA AUR SABSE BURA KIYA LAGTA?
to is ka javab yeh hai k humein tm pe ap ka hona sab se acha lagta aur aap ka sawalnama sab se bura lagta... lakin ab woh b acha lagnay laga kyunkay hum ne first sheet k javabat de diay.
2. uffff itnay type k log hai k ungliyon par gin-nay mushkil...
sanjeeda aur burdbaar bhi hain
roabdaar bhi hain
rangeen mizaj bhi hain
hoshiyar bhi hain
haya daar bhi hain
talvaar bhi hain
kuch ishq kar k bekaar bhi hain
gharzkay k be-shumaar rangoN ka majmooa hai humara TM
maza aata hai sab k sath baat se baat barhanay mein.... yeh dekhay bina k koyi hum se bara hai ya chota.. male hai ya female...
3. Ab tak ka bolay to... YEH MEHFIL JO AJ SAJI HAI.... lakin apnay hi thread ko pasand nahi kar saktay to is liay aik aur thread hai jis ka naam hai MISSING ONLINE....... woh humara fav thread hai. woh is liay k hum jissay bhi miss kar rahay hoN , Dankay ki choT par bina ghabraey bina sharmaaey awaaz de detay hain phir chahay @saviou Mohtram hoN @AnadiL ho @Shiraz-Khan @Hoorain @Ally @zaryaab @Fanii @STAR24 Koyi Bhi Ho.... Ussay Samaaj Ki Saari DewaareiN Gira K Aana Hi PaRata Hai :D

4. yeh to aap zyadati kar rahi hain... hum to chahay b piyeN to 2 cup samnay rakhtay hain aur kabhi 3 bhi aik time mein.... aur sif aik fav member,,,,, ho nahi sakta

5. shehr-e-khamoshaN
 
  • Like
Reactions: Ally and Hoorain

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Jee @saviou Mohtram woh 20 July 2015 ka aik udaas sa din tha.... jis din bhi humara kuch karne ko dil na chahay usay hum udaas din ka naam diya kartay hain. humein aik image search karna tha. Tafrehmella ka naam aaya samnay Google search mein.... samnay front page par likha message acha laga... bina aik minutte ki dair k forum join kar liya. humein apni yehi baat achi lagti hai k jo karna hai, usi waqat karna hai, sochne mein zyada time nahi lagatay aisi baatoN ko. aur ab Allah k laakh laakh shukar guzar hain k hum ne jo fouri faisla kiya forum join karne ka... us ne humein bahot se achay logoN ki mehfil ka hissa bnaya. Khud ko bhi is baat par shabash detay hain k acha faisla tha.

yahan aanay k baad ka impression to mat hi poochiay... yoon lag raha tha k jaisay kisi melay mein koyi bacha kho gaya ho..... koyi rasta milta hi na thaa... waisay bhi hum idhar udhar dekhay baghair naak ki seedh mein chalnay k aadi hain... to bas samnay jo thread nazar aata tha... usi mein ghus jatay... bas yoonhi ghustay ghusatay aakhirkaar forum se thori jaan pehchaan huyi. sara forum abhi tak hum nahi ghoom paaey... idhar udhar hi itna time lag jata hai.
Forum ka impression to acha tha is tarah se..... lakin hum kuch members se thoray dar gay thay... darna matlab thori jhijhak keh lijiay k samjh nahi aa rahi thi k kaise baat kareN.. asal mein yeh humen kuch time baad pata chala k DP k neeche male/ female sab likha hota hai. bahot funny raha yeh sab.

Members k baaray humari raaey bahot achi hai... sab apnay apnay rang mein achay hain. PardesiyoN ko to jahan bhi apnay hum zubaan mil jaayen, woh jaga hi un k liay ghar jaisi ho jaati hai. aur wahan k rehne waalay ghar waloN jaisay eham ho jatay hain.
Seekhne Sikhanay Ki baat kar rahay haiN to.... Iss Baray Sirf Itna Keh Saktay HaiN K @saviou @Shiraz-Khan @Ally @Hoorain @STAR24 ne humaray zehan pe lagay zang ko jaise utaara... kaafi time se kuch likhna, kuch kehna bhool gay thay baaqi kaamoN mein lag kar... lakin ab phir se apnay asli roop mein aa gay haiN.... hathoN k sath sath zuban aur qalam chalanay walay roop mein.
is k liay hum aap sab k aur TM k shukarguzar hain.

KHidmat E Khalaq KA Qissa Kuch YooN Hai K HUm Nay Apni Family MeiN Apnay BUzurgoN Ko Is Tarah Se Dekha Hai K Woh Tanha Nahi Hotay. Har Shaam Sari Family Un K Gird Betha Karti Hai. Bahot BaateN Hoti HaiN. Gharzkay UnheiN Yeh Ehsaas Kabhi Nahi Hota K Ab Hum BooRhay Ho Gay HaiN Aur Akelay HaiN. YahaN Part Time Job K Doraan Humara Wasta Aik Old Home Se Para . Tab December Ka Mahina Tha. Chritsmas Ki Tiyari Chal Rahi Thi... Aisay MeiN Aik Old Lady Se Mulaqaat Huyi. Woh 92 Saal Ki Thi shayed ya phir zyada.... baaton k doraan us ne btaya k us ki family mein sirf wohi reh gayi hai, bachay b nahi thay us k ... humaray dil mein humdardi jagi, hum aksar us k paas janay lagay... phir aahista aahista kar k aisay kayi log... kuch b help chahiay hoti, hum hazir, jaisay dr paas jana , koyi market ka kaam.... aur ab taqreeban 2 saal se hum ne week k 3 din aik activity center k naam kar diay hain jahan bahot saray old people atay hain, kuch aisay hain jaise k apnay din gin rahay hain. unka aakhri time acha guzarnay k liay hum un k sath mil kar kuch creative work kartay hain , rangoN se aashnayi karwatay hain aur jitni khushi de sakeN , detay hain.jin ko kisi saamiya ki zarorat ho, yeh farz b ba-khoobi nibhatay hain. Yeh sab razakarana tor par hai is liay humeiN ab aik aur activity center mein bhi aisi hi help karni hai. tafseel kafi lambi hai lakin humara reply pehle hi shaitaan ki aant ho gaya hai.
Ma sha Allah :)
hamare liye yane TM k liye to 20 July ka din bohot acha din hai jis din TM ko ek talent mila ek buzurg mila :p

asal me TM par kuch waqt guzarta hai k koi na koi talent ubhar kar samne aata hai lekin is baar thori der ho gayi thi lekin aap ne wo kami poori kardi waqai me

aur apke khidmat e khlaq k bare me jaan kar bohot khushi huyi Allah apko iska behtareen badla ataa famaye Aameen :)
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Ma sha Allah :)
hamare liye yane TM k liye to 20 July ka din bohot acha din hai jis din TM ko ek talent mila ek buzurg mila :p

asal me TM par kuch waqt guzarta hai k koi na koi talent ubhar kar samne aata hai lekin is baar thori der ho gayi thi lekin aap ne wo kami poori kardi waqai me

aur apke khidmat e khlaq k bare me jaan kar bohot khushi huyi Allah apko iska behtareen badla ataa famaye Aameen :)
@Buzurg
Yeh Titel Haqeeqat MeiN Bhi HumeiN Kuch Is Tarah Se Mil Chuka Hai K Humari Ammi Jaan Ki Hum-umar Aunty Ne Jab Hum Se Kaha K Tumharay Hotay Huvay Mujhay Apni Mother Ki Kami Mehsoos Nahi Ho Rahi.... Yeh HUmaray Liay Bahot Ezaaz Ki Baat Hai k UnhoN Ne HumeN Apna Buzurg Maan ... Buzurgi KA Umar Se Nahi Bartaao Se Taaluk Hota Hai Aur Hum Apnay Bachpan Se Hi Buzurgana Tabiyat Rakhtay HaIn Masha Allah.
Apki DuaaoN K Liay Shukria... Insha Allah Jitni Himmat Hai, Kartay RaheN Gay Khidmat E Khalq K Sath Khidmat E TM Bhi.
 
  • Like
Reactions: Ally and saviou

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
haan jee maanti hain k hum hain.... lakin sirf chehre ki hadh tak....
aur kal bhi humein yeh sun0nsy ko mila is liay aaj aap ya Hoorain siso se zyada behas b nahi ki
ye sunonsy kya hai? /:)

jee jee zaroor kijiay sawal....
balkay sawal dar sawal kijiay lakin kisi kharay kharay javab ka bura mat manaiay ga :)
nahi jee hame aap se umeed hai ke aisa koi jawab nahi hoga jise parh kar bura manne ki naubat ajaye in sha Allah :)
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
@Buzurg
Yeh Titel Haqeeqat MeiN Bhi HumeiN Kuch Is Tarah Se Mil Chuka Hai K Humari Ammi Jaan Ki Hum-umar Aunty Ne Jab Hum Se Kaha K Tumharay Hotay Huvay Mujhay Apni Mother Ki Kami Mehsoos Nahi Ho Rahi.... Yeh HUmaray Liay Bahot Ezaaz Ki Baat Hai k UnhoN Ne HumeN Apna Buzurg Maan ... Buzurgi KA Umar Se Nahi Bartaao Se Taaluk Hota Hai Aur Hum Apnay Bachpan Se Hi Buzurgana Tabiyat Rakhtay HaIn Masha Allah.
Apki DuaaoN K Liay Shukria... Insha Allah Jitni Himmat Hai, Kartay RaheN Gay Khidmat E Khalq K Sath Khidmat E TM Bhi.
wallah ham apse yehi kehne wale the ke buzurgi ka hargis matlab umar se nahi balke jo abhi apne bayan kiya wo bhi hota hai

khair hamare dil ya phir zuban par jo baat ayi thi wo apki zubani sun ne ko mil gayi :)
 
  • Like
Reactions: shehr-e-tanhayi
Top